Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garmi ka mausam

Ismail Merathi

garmi ka mausam

Ismail Merathi

may aan pahuñchā hai mahīna

bahā choTī se eḌī tak pasīnā

baje baara to sūraj sar pe aayā

huā pairoñ tale poshīda saayā

chalī aur taḌāqe paḌī dhuup

lapaT hai aag goyā kaḌī dhuup

zamīñ hai koī jaltā tavā hai

koī sho.ala hai pachhuā havā hai

dar-o-dīvār haiñ garmī se tapte

banī-ādam haiñ machhlī se taḌapte

parinde uḌ ke haiñ paanī pe girte

charinde bhī haiñ ghabrā.e se phirte

darinde chhup ga.e haiñ jhāḌiyoñ meñ

magar Duube paḌe haiñ khāḌiyoñ meñ

na pūchho kuchh ġharīboñ ke makāñ

zamīñ farsh hai chhat āsmāñ

na pañkhā hai na TaTTī hai na kamra

zarā jhoñpaḌī mehnat samra

amīroñ ko mubārak ho havelī

ġharīboñ bhī hai allāh belī

may ka aan pahuncha hai mahina

baha choTi se eDi tak pasina

baje bara to suraj sar pe aaya

hua pairon tale poshida saya

chali lu aur taDaqe ki paDi dhup

lapaT hai aag ki goya kaDi dhup

zamin hai ya koi jalta tawa hai

koi shoala hai ya pachhua hawa hai

dar-o-diwar hain garmi se tapte

bani-adam hain machhli se taDapte

parinde uD ke hain pani pe girte

charinde bhi hain ghabrae se phirte

darinde chhup gae hain jhaDiyon mein

magar Dube paDe hain khaDiyon mein

na puchho kuchh gharibon ke makan ki

zamin ka farsh hai chhat aasman ki

na pankha hai na TaTTi hai na kamra

zara si jhonpaDi mehnat ka samra

amiron ko mubarak ho haweli

gharibon ka bhi hai allah beli

Source :
  • Book : Bchchon ke ismaiil merthi (Pg. 75)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now