ek billi do chuhe
do chūhoñ kī ek kahānī
kuchh taaza hai kuchh hai purānī
ik chūhe kī jeb meñ baTvā
ik chūhe ke haath meñ huqqa
huqqe meñ the bor ke laDDū
kuchh the motī-chūr ke laDDū
laDDū the sab rañg rañgīle
kuchh the niilī aur kuchh piile
baTve meñ the chaar TamāTar
aur thoḌā sā mineral water
laDDū khā kar paanī pī kar
bole chūhe chhat par chaḌh kar
kahāñ hai billī us ko bulāo
aayā hai ab ham ko taav
aaj nahīñ vo bachne vaalī
bachcha log bajā.e taalī
billī ne jab sunī ye baat
biit chukī thī aadhī raat
pahle us ne dum ko hilāyā
dāñtoñ ko dāñtoñ pe jamāyā
chupke chupke chhat par pahuñchī
phir tezī se un par jhapTī
donoñ chūhe Dar kar bhāge
billī pīchhe chūhe aage
sorry sorry laakh vo bole
sunī na un kī baat kisī ne
billī ne phir maze uḌaa.e
ik ik kar ke donoñ khaa.e
do chuhon ki ek kahani
kuchh taza hai kuchh hai purani
ek chuhe ki jeb mein baTwa
ek chuhe ke hath mein huqqa
huqqe mein the bor ke laDDu
kuchh the moti-chur ke laDDu
laDDu the sab rang rangile
kuchh the nili aur kuchh pile
baTwe mein the chaar TamaTar
aur thoDa sa mineral water
laDDu kha kar pani pi kar
bole chuhe chhat par chaDh kar
kahan hai billi us ko bulao
aaya hai ab hum ko taw
aaj nahin wo bachne wali
bachcha log bajae tali
billi ne jab suni ye baat
bit chuki thi aadhi raat
pahle us ne dum ko hilaya
danton ko danton pe jamaya
chupke chupke chhat par pahunchi
phir tezi se un par jhapTi
donon chuhe Dar kar bhage
billi pichhe chuhe aage
sorry sorry lakh wo bole
suni na un ki baat kisi ne
billi ne phir maze uDae
ek ek kar ke donon khae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.