Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachche man ke sachche

Sahir Ludhianvi

bachche man ke sachche

Sahir Ludhianvi

bachche man ke sachche saare jag aañkh ke taare

ye vo nanhe phuul haiñ jo bhagvān ko lagte pyāre

ḳhud rūTheñ ḳhud man jaa.eñ phir ham-jolī ban jaa.eñ

jhagḌā jis ke saat kareñ agle pal phir baat kareñ

in ko kisī se bair nahīñ in ke liye koī ġhair nahīñ

in bholā-pan miltā hai sab ko baañh pasāre

insāñ jab tak bachcha hai tab tak samjho sachchā hai

jūñ-jūñ us umr baḌhe man par jhuuT mail chaḌhe

krodh baḌhe nafrat ghere lālach aadat ghere

bachpan in pāpoñ se haT kar apnī umr guzāre

tan komal man sundar haiñ bachche baḌoñ se behtar haiñ

in meñ chhūt aur chhāt nahīñ jhūTī zaat aur paat nahīñ

bhāshā takrār nahīñ maz.hab dīvār nahīñ

in nazroñ meñ ik haiñ mandir masjid gurudvāre

bachche man ke sachche sare jag ki aankh ke tare

ye wo nanhe phul hain jo bhagwan ko lagte pyare

KHud ruThen KHud man jaen phir ham-joli ban jaen

jhagDa jis ke sat karen agle hi pal phir baat karen

in ko kisi se bair nahin in ke liye koi ghair nahin

in ka bhola-pan milta hai sab ko banh pasare

insan jab tak bachcha hai tab tak samjho sachcha hai

jun-jun us ki umr baDhe man par jhuT ka mail chaDhe

krodh baDhe nafrat ghere lalach ki aadat ghere

bachpan in papon se haT kar apni umr guzare

tan komal man sundar hain bachche baDon se behtar hain

in mein chhut aur chhat nahin jhuTi zat aur pat nahin

bhasha ki takrar nahin mazhab ki diwar nahin

in ki nazron mein ek hain mandir masjid gurudware

Source :

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now