Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

marsiya gopal krishn gokhle

Chakbast Braj Narayan

marsiya gopal krishn gokhle

Chakbast Braj Narayan

MORE BYChakbast Braj Narayan

    laraz rahā thā vatan jis ḳhayāl ke Dar se

    vo aaj ḳhuun rulātā hai dīda-e-tar se

    sadā ye aatī hai phal phuul aur patthar se

    zamīñ pe taaj girā qaum-e-hind ke sar se

    habīb qaum duniyā se yuuñ ravāna huā

    zamīñ ulaT ga.ī kyā munqalib zamāna huā

    baḌhī huī thī nahūsat zavāl-e-paiham

    tire zuhūr se taqdīr qaum chamkī

    nigāh-e-yās thī hindustāñ pe aalam

    ajiib shai thī magar raushnī tire dam

    tujhī ko mulk meñ raushan dimāġh samjhe the

    tujhe ġharīb ke ghar charāġh samjhe the

    vatan ko ne sañvārā kis āb-o-tāb ke saath

    sahar nuur baḌhe jaise āftāb ke saath

    chune rifāh ke gul husn-e-intiḳhāb ke saath

    shabāb qaum chamkā tire shabāb ke saath

    jo aaj nashv-o-numā nayā zamāna hai

    ye inqalāb tirī umr fasāna hai

    rahā mizāj meñ saudā-e-qaum ḳhū ho kar

    vatan ishq rahā dil aarzū ho kar

    badan meñ jaan rahī vaqf-e-ābrū ho kar

    ragoñ meñ josh-e-mohabbat rahe lahū ho ho kar

    ḳhudā ke hukm se jab āb-o-gil banā terā

    kisī shahīd miTTī se dil banā terā

    vatan jaan pe kyā kyā tabāhiyāñ aa.iiñ

    umañD umañD ke jihālat badliyāñ aa.iiñ

    charāġh-e-amn bujhāne ko āñdhiyāñ aa.iiñ

    diloñ meñ aag lagāne ko bijliyāñ aa.iiñ

    is intishār meñ jis nuur sahārā thā

    ufuq pe qaum ke vo ek sitārā thā

    hadīs-e-qaum banī thī tirī zabāñ ke liye

    zabāñ milī thī mohabbat dāstāñ ke liye

    ḳhudā ne tujh ko payambar kiyā yahāñ ke liye

    ki tere haath meñ nāqūs thā azaañ ke liye

    vatan ḳhaak tirī bārgāh-e-a.alā hai

    hameñ yahī na.ī masjid nayā shivālā hai

    ġharīb hind ne tanhā nahīñ ye daaġh sahā

    vatan se duur bhī tūfān ranj-o-ġham uThā

    habīb kyā haiñ harīfoñ ne ye zabāñ se kahā

    safīr-e-qaum jigar-band-e-saltanat na rahā

    payām shah ne diyā rasm-e-ta.aziyat ke liye

    ki sutūn thā aivān-e-saltanat ke liye

    diloñ meñ naqsh haiñ ab tak tirī zabāñ ke suḳhan

    hamārī raah meñ goyā charāġh haiñ raushan

    faqīr the jo tire dar ke ḳhādmān-e-vatan

    unheñ nasīb kahāñ hogā ab tirā dāman

    tire alam meñ vo is tarah jaan khote haiñ

    ki jaise baap se chhuT kar yatīm rote haiñ

    ajal ke daam meñ aanā hai yuuñ to aalam ko

    magar ye dil nahīñ tayyār tere mātam ko

    pahāḌ kahte haiñ duniyā meñ aise ġham ko

    miTā ke tujh ko ajal ne miTā diyā ham ko

    janāza hind dar se tire nikaltā hai

    suhāg qaum terī chitā meñ jaltā hai

    rahegā rañj zamāne meñ yādgār tirā

    vo kaun dil hai ki jis meñ nahīñ mazār tirā

    jo kal raqīb thā hai aaj sogvār tirā

    ḳhudā ke sāmne hai mulk sharmsār tirā

    palī hai qaum tire sāya-e-karam ke tale

    hameñ nasīb thī jannat tire qadam ke tale

    laraz raha tha watan jis KHayal ke Dar se

    wo aaj KHun rulata hai dida-e-tar se

    sada ye aati hai phal phul aur patthar se

    zamin pe taj gira qaum-e-hind ke sar se

    habib qaum ka duniya se yun rawana hua

    zamin ulaT gai kya munqalib zamana hua

    baDhi hui thi nahusat zawal-e-paiham ki

    tere zuhur se taqdir qaum ki chamki

    nigah-e-yas thi hindustan pe aalam ki

    ajib shai thi magar raushni tere dam ki

    tujhi ko mulk mein raushan dimagh samjhe the

    tujhe gharib ke ghar ka charagh samjhe the

    watan ko tu ne sanwara kis aab-o-tab ke sath

    sahar ka nur baDhe jaise aaftab ke sath

    chune rifah ke gul husn-e-intiKHab ke sath

    shabab qaum ka chamka tere shabab ke sath

    jo aaj nashw-o-numa ka naya zamana hai

    ye inqalab teri umr ka fasana hai

    raha mizaj mein sauda-e-qaum KHu ho kar

    watan ka ishq raha dil ki aarzu ho kar

    badan mein jaan rahi waqf-e-abru ho kar

    ragon mein josh-e-mohabbat rahe lahu ho ho kar

    KHuda ke hukm se jab aab-o-gil bana tera

    kisi shahid ki miTTi se dil bana tera

    watan ki jaan pe kya kya tabahiyan aain

    umanD umanD ke jihaalat ki badliyan aain

    charagh-e-amn bujhane ko aandhiyan aain

    dilon mein aag lagane ko bijliyan aain

    is intishaar mein jis nur ka sahaara tha

    ufuq pe qaum ke wo ek hi sitara tha

    hadis-e-qaum bani thi teri zaban ke liye

    zaban mili thi mohabbat ki dastan ke liye

    KHuda ne tujh ko payambar kiya yahan ke liye

    ki tere hath mein naqus tha azan ke liye

    watan ki KHak teri bargah-e-ala hai

    hamein yahi nai masjid naya shiwala hai

    gharib hind ne tanha nahin ye dagh saha

    watan se dur bhi tufan ranj-o-gham ka uTha

    habib kya hain harifon ne ye zaban se kaha

    safir-e-qaum jigar-band-e-saltanat na raha

    payam shah ne diya rasm-e-taziyat ke liye

    ki tu sutun tha aiwan-e-saltanat ke liye

    dilon mein naqsh hain ab tak teri zaban ke suKHan

    hamari rah mein goya charagh hain raushan

    faqir the jo tere dar ke KHadman-e-watan

    unhen nasib kahan hoga ab tera daman

    tere alam mein wo is tarah jaan khote hain

    ki jaise bap se chhuT kar yatim rote hain

    ajal ke dam mein aana hai yun to aalam ko

    magar ye dil nahin tayyar tere matam ko

    pahaD kahte hain duniya mein aise hi gham ko

    miTa ke tujh ko ajal ne miTa diya hum ko

    janaza hind ka dar se tere nikalta hai

    suhag qaum ka teri chita mein jalta hai

    rahega ranj zamane mein yaadgar tera

    wo kaun dil hai ki jis mein nahin mazar tera

    jo kal raqib tha hai aaj sogwar tera

    KHuda ke samne hai mulk sharmsar tera

    pali hai qaum tere saya-e-karam ke tale

    hamein nasib thi jannat tere qadam ke tale

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now