Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iqbaal se ham-kalami

Shorish kashmiri

iqbaal se ham-kalami

Shorish kashmiri

MORE BYShorish kashmiri

    kal azān-e-sub.h se pahle fazā-e-quds meñ

    maiñ ne dekhā kuchh shanāsā sūrateñ haiñ ham-nashīñ

    the hakīm-e-sharq se shaiḳh-e-mujaddid ham-kalām

    gosh-bar-āvāz sab dānish-varān-e-ilm-o-dīñ

    bul-kalām-'āzād' se 'ġhālib' the masrūf-e-suḳhan

    'mīr' o 'momin' daur-e-hāzir ġhazal pe nukta-chīñ

    is se kuchh haT kar gulābī shāḳh-choñ chhāñv meñ

    the valīullāh ke farzand nukta-āfrīñ

    īstāda sarv ke saa.e meñ the maulā-e-rūm

    jin ke farmūdāt meñ muzmar haiñ āyāt-e-mubīñ

    soch meñ Duube hue the 'hālī'-e-darvesh-ḳhū

    bāñdh kar baiThe halqa shiblī-e-ahd-āfrīñ

    maiñ ne baḌh kar murshid-e-iqbāl se ye arz

    aap ko ham tīra-baḳhtoñ ḳhabar hai nahīñ

    dil-shikasta ho ke farmāyā mujhe ma.alūm hai

    be-yad-e-baizā hai pīrān-e-haram āstīñ

    saltanat le kar ḳhudā o mustafā ke naam par

    ab ḳhudā o mustafā raah par koī nahīñ

    hai abhī shahbāz ġhairat par kargas ḳhanda-zan

    ''hai vahī sarmāya-dārī banda-e-momin dīñ''

    is se baḌh kar aur kyā fikr o amal inqalāb

    ''pādshāhoñ nahīñ allāh hai ye zamīñ''

    kaun samjhā.e añdherī raat ko ā.īn-e-mahr

    vaa.e bad-baḳhtī ki ḳhud momin hai mahrūm-e-yaqīñ

    ḳhuun de kar ḳhāna-e-sayyād ko raushan karo

    jaao mashriq ke ḳharāb-ābād ko raushan karo

    kal azan-e-subh se pahle faza-e-quds mein

    main ne dekha kuchh shanasa suraten hain ham-nashin

    the hakim-e-sharq se shaiKH-e-mujaddid ham-kalam

    gosh-bar-awaz sab danish-waran-e-ilm-o-din

    bul-kalam-'azad' se 'ghaalib' the masruf-e-suKHan

    'mir' o 'momin' daur-e-hazir ki ghazal pe nukta-chin

    is se kuchh haT kar gulabi shaKH-chon ki chhanw mein

    the waliullah ke farzand nukta-afrin

    istada sarw ke sae mein the maula-e-rum

    jin ke farmudat mein muzmar hain aayat-e-mubin

    soch mein Dube hue the 'haali'-e-darwesh-KHu

    bandh kar baiThe halqa shibli-e-ahd-afrin

    main ne baDh kar murshid-e-iqbaal se ye arz ki

    aap ko hum tira-baKHton ki KHabar hai ya nahin

    dil-shikasta ho ke farmaya mujhe malum hai

    be-yad-e-baiza hai piran-e-haram ki aastin

    saltanat le kar KHuda o mustafa ke nam par

    ab KHuda o mustafa ki rah par koi nahin

    hai abhi shahbaz ki ghairat par kargas KHanda-zan

    hai wahi sarmaya-dari banda-e-momin ka din

    is se baDh kar aur kya fikr o amal ka inqalab

    padshahon ki nahin allah ki hai ye zamin

    kaun samjhae andheri raat ko aain-e-mahr

    wae bad-baKHti ki KHud momin hai mahrum-e-yaqin

    KHun de kar KHana-e-sayyaad ko raushan karo

    jao mashriq ke KHarab-abaad ko raushan karo

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now