Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dilip-kumar

Rehman Faris

dilip-kumar

Rehman Faris

are hero!

adākārī na kar chal uTh

ki lākhoñ dil tirī āñkhoñ se dhaḌkan lene aa.e haiñ

chalo maanā tirī āñkheñ kuchh aisī thiiñ

ki is be-kār sayyāre pe un der tak rahnā

na bantā thā

magar pyāre!

tirī āñkhoñ ruḳhsat raushnī haar to hai

kyoñ ḳhāmosh hai kuchh kah

ki terī be-karāñ āvāz meñ to lākhoñ sadiyoñ sadā.eñ thiiñ

tire chehre har gahrā ta.assur aisā charḳha thā

ki jis par apne jazbe kāḌhte the ham

so is charḳhe kuuk ab kis liye chup hai

kahānī hidāyat-kār bhī shāyad tirī āñkhoñ gahrā.ī se ḳhā.if thā

vo mil jaa.e to boleñge

ki is kirdār jaanā na bantā thaa!

chal āñkheñ khol tujh se milne lākhoñ log aa.e haiñ

kisī ko bhī yaqīñ aatā nahīñ hai tere jaane

unheñ lagtā hai un ke rote rote uThegā aur kahegā:

ġham nahīñ karnā

guloñ zindagānī maut se kab ḳhatm hotī hai

mohabbat kahānī maut se kab ḳhatm hotī hai

are hero!

adakari na kar chal uTh

ki lakhon dil teri aankhon se dhaDkan lene aae hain

chalo mana teri aankhen kuchh aisi thin

ki is be-kar sayyare pe un ka der tak rahna

na banta tha

magar pyare!

teri aankhon ki ruKHsat raushni ki haar hi to hai

tu kyon KHamosh hai kuchh kah

ki teri be-karan aawaz mein to lakhon sadiyon ki sadaen thin

tere chehre ka har gahra tassur aisa charKHa tha

ki jis par apne jazbe kaDhte the hum

so is charKHe ki kuk ab kis liye chup hai

kahani ka hidayat-kar bhi shayad teri aankhon ki gahrai se KHaif tha

wo mil jae to bolenge

ki is kirdar ka jaana na banta tha!

chal aankhen khol tujh se milne lakhon log aae hain

kisi ko bhi yaqin aata nahin hai tere jaane ka

unhen lagta hai un ke rote rote tu uThega aur kahega:

gham nahin karna

gulon ki zindagani maut se kab KHatm hoti hai

mohabbat ki kahani maut se kab KHatm hoti hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now