kal ki baat
aise hī baiThe idhar bhayyā the daa.eñ jānib
un ke nazdīk baḌī aapā shabāna ko liye
apnī sasurāl ke kuchh qisse latīfe bāteñ
yuuñ sunātī thiiñ hañse paḌte the sab
sāmne ammāñ vahīñ khole piTārī apnī
muñh bhare paan se samdhan kī inhīñ bātoñ par
jhunjhlātī thiiñ kabhī tanz se kuchh kahtī thiiñ
ham ko ghere hue baiThī thiiñ na.īma shahnāz
vaqfe vaqfe se kabhī donoñ meñ chashmak hotī
hasb-e-ma.amūl sambhāle hue ḳhāna-dārī
mañjhlī aapā kabhī aatī kabhī jaatī thiiñ
ham se duur abbā usī kamre ke ik kone meñ
kāġhzāt apne arāzī ke liye baiThe the
yak-ba-yak shor huā mulk nayā mulk banā
aur ik aan meñ mahfil huī darham-barham
aañkh jo kholī to dekhā ki zamīñ laal hai sab
taqviyat zehn ne dī Thahro nahīñ ḳhuun nahīñ
paan kī piik hai ye ammāñ ne thūkī hogī
aise hi baiThe idhar bhayya the daen jaanib
un ke nazdik baDi aapa shabana ko liye
apni sasural ke kuchh qisse latife baaten
yun sunati thin hanse paDte the sab
samne amman wahin khole piTari apni
munh bhare pan se samdhan ki inhin baaton par
jhunjhlati thin kabhi tanz se kuchh kahti thin
hum ko ghere hue baiThi thin naima shahnaz
waqfe waqfe se kabhi donon mein chashmak hoti
hasb-e-mamul sambhaale hue KHana-dari
manjhli aapa kabhi aati kabhi jati thin
hum se dur abba usi kamre ke ek kone mein
kaghzat apne araazi ke liye baiThe the
yak-ba-yak shor hua mulk naya mulk bana
aur ek aan mein mahfil hui darham-barham
aankh jo kholi to dekha ki zamin lal hai sab
taqwiyat zehn ne di Thahro nahin KHun nahin
pan ki pik hai ye amman ne thuki hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.