kale safed paron wala parinda aur meri ek sham
jab din Dhal jaatā hai, sūraj dhartī kī oT meñ ho jaatā hai
aur bhiḌoñ ke chhatte jaisī bhin-bhin
bāzāroñ kī garmī, afrā-tafrī
motor, bas, barqī railoñ kā hañgāma tham jaatā hai
chā.e-ḳhānoñ nāch-gharoñ se kam-sin laḌke
apne ham-sin māshūqoñ ko
jin kī jinsī ḳhvāhish vaqt se pahle jaag uThī hai
le kar jā chukte haiñ
baḌhtī phailtī ūñchī himāla jaisī ta.amīroñ par ḳhāmoshī chhā jaatī hai
theater tafrīh-gāhoñ meñ taale paḌ jaate haiñ
aur ba-zāhir duniyā so jaatī hai
maiñ apne kamre meñ baiThā sochā kartā huuñ
kuttoñ kī dum TeḌhī kyuuñ hotī hai
ye chitkabrī duniyā jis kā koī bhī kirdār nahīñ hai
koī falsafa koī pā.inda aqdār nahīñ, me.aar nahīñ hai
is par ahl-e-dānish vidvān, falsafī
moTī moTī adaq kitābeñ kyuuñ likkhā karte haiñ?
'furqat' kī maañ ne shauhar ke marne par kitnā kohrām machāyā thā
lekin iddat ke din puure hone se ik hafta pahle
'nīlam' ke māmūñ ke saath badaun jā pahuñchī thī
bī-bī kī sehnak koñDe fātiha-ḳhvānī
jañg-e-siffīn, jamal aur badar ke qissoñ
sīrat-e-nabvī tark-e-duniyā aur maulvī-sāhab ke halve māñDe meñ kyā rishta hai?
din to uḌ jaate haiñ
ye sab kaale par vaale bagule haiñ
jo hañste khelte lamhoñ ko
apne pañkhoñ meñ muuñd ke āñkhoñ se ojhal ho jaate haiñ
rāhat jaise ḳhvāb hai aise insānoñ kā
jin kī ummīdoñ ke dāman meñ paivand lage haiñ
jaama ek taraf siite haiñ dūsrī jānib phaT jaatā hai
ye duniyā lamha lamha jiitī hai
'maryam' ab kapḌe setī hai
āñkhoñ kī bīnā.ī saath nahīñ detī ab
aur 'ġhazanfar'
jo rūmāl meñ laDDū bāñdh ke us ke ghar meñ pheñkā kartā thā
aur us kī āñkhoñ kī tausīf meñ ġhazleñ likhvā kar laayā kartā thā
us ne aur kahīñ shādī kar lī hai
ab apnī lakḌī kī Taal pe baiThā
apnī kaj-rā.ī aur javānī ke qisse dohrāyā kartā hai
Taal se uTh kar jab ghar meñ aatā hai
beTī par qadġhan rakhtā hai
na.e zamāne kī aulād ab vaisī nahīñ rah ga.ī
badkārī baḌhtī jaatī hai
jo din biit ga.e kitne achchhe the!
bargad ke nīche baiTho yā suulī chaḌh jaao
bhaiñse laḌne se baaz nahīñ ā.eñge
maut se ham ne ek ta.āvun kar rakkhā hai
saḌkoñ par se har lamha ik mayyat jaatī hai
pas-manzar meñ kyā hotā hai nazar kahāñ jaatī hai
sāmne jo kuchh hai rañgoñ āvāzoñ chehroñ kā melā hai!
gurgal uḌ kar vo pilkhan par jā baiThī
pīpal meñ tote ne bachche de rakhe haiñ
guldum jo pakḌī thī kal be-chārī mar ga.ī
'najma' ke bele meñ kitnī kaliyāñ aa.eñ haiñ
phūloñ kī ḳhushbū se kyā kyā yaad aatā hai
ye jab kā qissa hai saḌkoñ par na.ī na.ī bijlī aa.ī thī
aur mujhe siine meñ dil hone kā ehsās huā thā
iid ke din ham ne laTThe kī shalvāreñ silvā.ī thiiñ
aur sivayyoñ kā zarda ham-sā.e meñ bhejvāyā thā
sab nīche baiThak meñ baiThe the
maiñ uupar ke kamre meñ baiThā
khiḌkī se 'zainab' ke ghar meñ phūloñ ke guchchhe pheñk rahā thā
kal 'zainab' kā ghar nīlām ho rahā hai
sarkārī tahvīl meñ thā ik muddat se
shāyad patjhaḌ kā mausam aa pahuñchā
pattoñ ke girne kī āvāz musalsal aatī hai
chechak kā Tiika bīmārī ko roke rakhtā hai
zabt-e-taulīd isqāt vaġhaira
insānī ābādī ko baḌhne se rokeñgi
bandar ne jab se do Tāñgoñ par chalnā sīkhā
us ke zehn ne harkat meñ aanā sīkhā hai
pattoñ ke girne kī āvāz musalsal aatī hai
saḌkoñ par roz na.e chehre milte haiñ
maut se ham ne ek ta.āvun kar rakkhā hai
pas-manzar meñ nazar kahāñ jaatī hai
phūloñ kī ḳhushbū se kyā kyā yaad aatā hai
chauk meñ jis din phuul paḌe saḌte the
ḳhūnī darvāze par shahzādoñ kī phāñsī kā elaan huā thā
ye duniyā lamha lamha jiitī hai
dillī kī galiyāñ vaisī hī ābād shaad haiñ sab
din to kaale par vaale bagule haiñ
jo sab lamhoñ ko
apne pañkhoñ meñ muuñd ke āñkhoñ se ojhal ho jaate haiñ
chāroñ jānib rañg rañg ke jhanDe uḌte haiñ
sab kī jeboñ meñ insānoñ ke dukh-dard kā darmāñ
ḳhushiyoñ kā nusḳha bañdhā paḌā hai
lekin aisā kyuuñ hai
jab nusḳha khultā hai
1857 jaatā hai
1947 aa jaatā hai
jab din Dhal jata hai, suraj dharti ki oT mein ho jata hai
aur bhiDon ke chhatte jaisi bhin-bhin
bazaron ki garmi, afra-tafri
motor, bas, barqi railon ka hangama tham jata hai
chae-KHanon nach-gharon se kam-sin laDke
apne ham-sin mashuqon ko
jin ki jinsi KHwahish waqt se pahle jag uThi hai
le kar ja chukte hain
baDhti phailti unchi himala jaisi tamiron par KHamoshi chha jati hai
theater tafrih-gahon mein tale paD jate hain
aur ba-zahir duniya so jati hai
main apne kamre mein baiTha socha karta hun
kutton ki dum TeDhi kyun hoti hai
ye chitkabri duniya jis ka koi bhi kirdar nahin hai
koi falsafa koi painda aqdar nahin, mear nahin hai
is par ahl-e-danish widwan, falsafi
moTi moTi adaq kitaben kyun likkha karte hain?
'furqat' ki man ne shauhar ke marne par kitna kohram machaya tha
lekin iddat ke din pure hone se ek hafta pahle
'nilam' ke mamun ke sath badaun ja pahunchi thi
bi-bi ki sehnak konDe fatiha-KHwani
jang-e-siffin, jamal aur badar ke qisson
sirat-e-nabwi tark-e-duniya aur maulwi-sahab ke halwe manDe mein kya rishta hai?
din to uD jate hain
ye sab kale par wale bagule hain
jo hanste khelte lamhon ko
apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain
rahat jaise KHwab hai aise insanon ka
jin ki ummidon ke daman mein paiwand lage hain
jama ek taraf site hain dusri jaanib phaT jata hai
ye duniya lamha lamha jiti hai
'maryam' ab kapDe seti hai
aankhon ki binai sath nahin deti ab
aur 'ghazanfar'
jo rumal mein laDDu bandh ke us ke ghar mein phenka karta tha
aur us ki aankhon ki tausif mein ghazlen likhwa kar laya karta tha
us ne aur kahin shadi kar li hai
ab apni lakDi ki Tal pe baiTha
apni kaj-rai aur jawani ke qisse dohraya karta hai
Tal se uTh kar jab ghar mein aata hai
beTi par qadghan rakhta hai
nae zamane ki aulad ab waisi nahin rah gai
badkari baDhti jati hai
jo din bit gae kitne achchhe the!
bargad ke niche baiTho ya suli chaDh jao
bhainse laDne se baz nahin aaenge
maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai
saDkon par se har lamha ek mayyat jati hai
pas-manzar mein kya hota hai nazar kahan jati hai
samne jo kuchh hai rangon aawazon chehron ka mela hai!
gurgal uD kar wo pilkhan par ja baiThi
pipal mein tote ne bachche de rakhe hain
guldum jo pakDi thi kal be-chaari mar gai
'najma' ke bele mein kitni kaliyan aaen hain
phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai
ye jab ka qissa hai saDkon par nai nai bijli aai thi
aur mujhe sine mein dil hone ka ehsas hua tha
id ke din hum ne laTThe ki shalwaren silwai thin
aur siwayyon ka zarda ham-sae mein bhejwaya tha
sab niche baiThak mein baiThe the
main upar ke kamre mein baiTha
khiDki se 'zainab' ke ghar mein phulon ke guchchhe phenk raha tha
kal 'zainab' ka ghar nilam ho raha hai
sarkari tahwil mein tha ek muddat se
shayad patjhaD ka mausam aa pahuncha
patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai
chechak ka Tika bimari ko roke rakhta hai
zabt-e-taulid isqat waghaira
insani aabaadi ko baDhne se rokengi
bandar ne jab se do Tangon par chalna sikha
us ke zehn ne harkat mein aana sikha hai
patton ke girne ki aawaz musalsal aati hai
saDkon par roz nae chehre milte hain
maut se hum ne ek taawun kar rakkha hai
pas-manzar mein nazar kahan jati hai
phulon ki KHushbu se kya kya yaad aata hai
chauk mein jis din phul paDe saDte the
KHuni darwaze par shahzadon ki phansi ka elan hua tha
ye duniya lamha lamha jiti hai
dilli ki galiyan waisi hi aabaad shad hain sab
din to kale par wale bagule hain
jo sab lamhon ko
apne pankhon mein mund ke aankhon se ojhal ho jate hain
chaaron jaanib rang rang ke jhanDe uDte hain
sab ki jebon mein insanon ke dukh-dard ka darman
KHushiyon ka nusKHa bandha paDa hai
lekin aisa kyun hai
jab nusKHa khulta hai
1857 jata hai
1947 aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.