raat ki rani
koī dekhe to zarā raat kī raanī kā jamāl
ruḳh pe ġhāze kī mahak itr meñ ālūda libās
allah allāh ye hai phuul bhī kitnā ḳhud-bīñ
husn-o-ra.anā.ī kā kis darja ise hai ehsās
marmarīñ rang subuk jism dahan chhoTā sā
lambī gardan kisī mai-kash kī surāhī jaise
shāḳh-e-nāzuk pe chamaktā hai shab-e-rangīñ meñ
kisī TuuTe hue taare kī tajallī jaise
din ke auqāt meñ ye phuul nahīñ khiltā hai
raat ke vaqt hī iThlātā hai ye sīmīñ-tan
shab ke parde hī meñ kartā hai ye ārā.ish-e-ruḳh
is kī zulfoñ se mahak uThte haiñ gulzār-o-chaman
din meñ dekhe to koī us kī pareshāñ-hālī
chehra utrā huā ḳhāmosh fasurda muñh band
koī doshīza hai jo rahtī hai din meñ ġhamgīñ
shab ke aate hī ye ho jaatī hai lailā ḳhursand
din meñ ye malgaje kapḌoñ meñ nazar aatī hai
raat meñ kartī hai ārā.ish-e-zulf-o-ruḳhsār
din meñ rahtī hai ye nāzūra-e-gul parde meñ
raat ke vaqt dikhātī hai javānī kī bahār
apne āshiq se mulāqāt kī ḳhātir dam-e-shab
kunj-e-gulshan meñ pasand aa.ī rihā.ish is ko
mujh ko is phuul pe shīrīñ kā gumāñ hotā hai
apne farhād se hai vasl kī ḳhvāhish is ko
koi dekhe to zara raat ki rani ka jamal
ruKH pe ghaze ki mahak itr mein aaluda libas
allah allah ye hai phul bhi kitna KHud-bin
husn-o-ranai ka kis darja ise hai ehsas
marmarin rang subuk jism dahan chhoTa sa
lambi gardan kisi mai-kash ki surahi jaise
shaKH-e-nazuk pe chamakta hai shab-e-rangin mein
kisi TuTe hue tare ki tajalli jaise
din ke auqat mein ye phul nahin khilta hai
raat ke waqt hi iThlata hai ye simin-tan
shab ke parde hi mein karta hai ye aaraish-e-ruKH
is ki zulfon se mahak uThte hain gulzar-o-chaman
din mein dekhe to koi us ki pareshan-haali
chehra utra hua KHamosh fasurda munh band
koi doshiza hai jo rahti hai din mein ghamgin
shab ke aate hi ye ho jati hai laila KHursand
din mein ye malgaje kapDon mein nazar aati hai
raat mein karti hai aaraish-e-zulf-o-ruKHsar
din mein rahti hai ye nazura-e-gul parde mein
raat ke waqt dikhati hai jawani ki bahaar
apne aashiq se mulaqat ki KHatir dam-e-shab
kunj-e-gulshan mein pasand aai rihaish is ko
mujh ko is phul pe shirin ka guman hota hai
apne farhad se hai wasl ki KHwahish is ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.