Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

walida marhuma ki yaad mein

Allama Iqbal

walida marhuma ki yaad mein

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-3. 1908 (Bang-e-Dara)

    zarra zarra dahr zindānī-e-taqdīr hai

    parda-e-majbūrī o bechārgī tadbīr hai

    āsmāñ majbūr hai shams o qamar majbūr haiñ

    anjum-e-sīmāb-pā raftār par majbūr haiñ

    hai shikast anjām ġhunche subū gulzār meñ

    sabza o gul bhī haiñ majbūr-e-numū gulzār meñ

    naġhma-e-bulbul ho āvāz-e-ḳhāmosh-e-zamīr

    hai isī zanjīr-e-ālam-gīr meñ har shai asiir

    aañkh par hotā hai jab ye sirr-e-majbūrī ayaañ

    ḳhushk ho jaatā hai dil meñ ashk sail-e-ravāñ

    qalb-e-insānī meñ raqs-e-aish-o-ġham rahtā nahīñ

    naġhma rah jaatā hai lutf-e-zer-o-bam rahtā nahīñ

    ilm o hikmat rahzan-e-sāmān-e-ashk-o-āh hai

    ya.anī ik almās TukḌā dil-e-āgāh hai

    garche mere baaġh meñ shabnam shādābī nahīñ

    aañkh merī māya-dār-e-ashk-e-unnābī nahīñ

    jāntā huuñ aah meñ ālām-e-insānī raaz

    hai navā-e-shikva se ḳhālī mirī fitrat saaz

    mere lab par qissa-e-nairañgi-e-daurāñ nahīñ

    dil mirā hairāñ nahīñ ḳhanda nahīñ giryāñ nahīñ

    par tirī tasvīr qāsid girya-e-paiham hai

    aah ye tardīd merī hikmat-e-mohkam hai

    girya-e-sarshār se buniyād-e-jāñ pā.inda hai

    dard ke irfāñ se aql-e-sañg-dil sharminda hai

    mauj-e-dūd-e-āh se ā.īna hai raushan mirā

    ganj-e-āb-āvrd se māmūr hai dāman mirā

    hairatī huuñ maiñ tirī tasvīr ke e.ajāz

    ruḳh badal Daalā hai jis ne vaqt parvāz

    rafta o hāzir ko goyā pā-ba-pā is ne kiyā

    ahd-e-tiflī se mujhe phir āshnā is ne kiyā

    jab tire dāman meñ paltī thī vo jān-e-nā-tavāñ

    baat se achchhī tarah mahram na thī jis zabāñ

    aur ab charche haiñ jis shoḳhī-e-guftār ke

    be-bahā motī haiñ jis chashm-e-gauhar-bār ke

    ilm sañjīda-guftārī buḌhāpe shu.ūr

    dunyavī e.azāz shaukat javānī ġhurūr

    zindagī auj-gāhoñ se utar aate haiñ ham

    sohbat-e-mādar meñ tifl-e-sāda rah jaate haiñ ham

    be-takalluf ḳhanda-zan haiñ fikr se āzād haiñ

    phir usī kho.e hue firdaus meñ ābād haiñ

    kis ko ab hogā vatan meñ aah merā intizār

    kaun merā ḳhat na aane se rahegā be-qarār

    ḳhāk-e-marqad par tirī le kar ye fariyād ā.ūñgā

    ab duā-e-nīm-shab meñ kis ko maiñ yaad ā.ūñgā

    tarbiyat se terī meñ anjum ham-qismat huā

    ghar mire ajdād sarmāya-e-izzat huā

    daftar-e-hastī meñ thī zarrīñ varaq terī hayāt

    thī sarāpā diin o duniyā sabaq terī hayāt

    umr bhar terī mohabbat merī ḳhidmat-gar rahī

    maiñ tirī ḳhidmat ke qābil jab huā chal basī

    vo javāñ-qāmat meñ hai jo sūrat-e-sarv-e-buland

    terī ḳhidmat se huā jo mujh se baḌh kar bahra-mand

    kārobār-e-zindagānī meñ vo ham-pahlū mirā

    vo mohabbat meñ tirī tasvīr vo baazū mirā

    tujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-pā rotā hai vo

    sabr se nā-āshnā sub.h o masā rotā hai vo

    tuḳhm jis hamārī kisht-e-jāñ meñ bo ga.ī

    shirkat-e-ġham se vo ulfat aur mohkam ho ga.ī

    aah ye duniyā ye mātam-ḳhāna-e-barnā-o-pīr

    aadmī hai kis tilism-e-dosh-o-fardā meñ asiir

    kitnī mushkil zindagī hai kis qadar āsāñ hai maut

    gulshan-e-hastī meñ mānind-e-nasīm arzāñ hai maut

    zalzale haiñ bijliyāñ haiñ qaht haiñ ālām haiñ

    kaisī kaisī duḳhtarān-e-mādar-e-ayyām haiñ

    kalba-e-iflās meñ daulat ke kāshāne meñ maut

    dasht o dar meñ shahr meñ gulshan meñ vīrāne meñ maut

    maut hai hañgāma-ārā qulzum-e-ḳhāmosh meñ

    Duub jaate haiñ safīne mauj āġhosh meñ

    ne majāl-e-shikva hai ne tāqat-e-guftār hai

    zindagānī kyā hai ik tauq-e-gulū-afshār hai

    qāfile meñ ġhair fariyād-e-dirā kuchh bhī nahīñ

    ik matā-e-dīda-e-tar ke sivā kuchh bhī nahīñ

    ḳhatm ho jā.egā lekin imtihāñ daur bhī

    haiñ pas-e-noh parda-e-gardūñ abhī daur aur bhī

    siina chaak is gulsitāñ meñ lāla-o-gul haiñ to kyā

    naala o fariyād par majbūr bulbul haiñ to kyā

    jhāḌiyāñ jin ke qafas meñ qaid hai āh-e-ḳhizāñ

    sabz kar degī unheñ bād-e-bahār-e-jāvedāñ

    ḳhufta-ḳhāk-e-pai sipar meñ hai sharār apnā to kyā

    aarzī mahmil hai ye musht-e-ġhubār apnā to kyā

    zindagī aag anjām ḳhākistar nahīñ

    TūTnā jis muqaddar ho ye vo gauhar nahīñ

    zindagī mahbūb aisī dīda-e-qudrat meñ hai

    zauq-e-hifz-e-zindagī har chiiz fitrat meñ hai

    maut ke hāthoñ se miT saktā agar naqsh-e-hayāt

    aam yuuñ us ko na kar detā nizām-e-kā.enāt

    hai agar arzāñ to ye samjho ajal kuchh bhī nahīñ

    jis tarah sone se jiine meñ ḳhalal kuchh bhī nahīñ

    aah ġhāfil maut rāz-e-nihāñ kuchh aur hai

    naqsh nā-pā.edārī se ayaañ kuchh aur hai

    jannat-e-nazāra hai naqsh-e-havā bālā-e-āb

    mauj-e-muztar toḌ kar ta.amīr kartī hai habāb

    mauj ke dāman meñ phir us ko chhupā detī hai ye

    kitnī bedardī se naqsh apnā miTā detī hai ye

    phir na kar saktī habāb apnā agar paidā havā

    toḌne meñ us ke yuuñ hotī na be-parvā havā

    is ravish kyā asar hai haiyat-e-tāmīr par

    ye to hujjat hai havā quvvat-e-tāmīr par

    fitrat-e-hastī shahīd-e-ārzū rahtī na ho

    ḳhūb-tar paikar us ko justujū rahtī na ho

    aah sīmāb-e-pareshāñ anjum-e-gardūñ-faroz

    shoḳh ye chiñgāriyāñ mamnūn-e-shab hai jin soz

    aql jis se sar-ba-zānū hai vo muddat in hai

    sarguzisht-e-nau-e-insāñ ek saa.at un hai

    phir ye insāñ aañ sū-e-aflāk hai jis nazar

    qudsiyoñ se bhī maqāsid meñ hai jo pākīza-tar

    jo misāl-e-sham.a raushan mahfil-e-qudrat meñ hai

    āsmāñ ik nuqta jis vus.at-e-fitrat meñ hai

    jis nādānī sadāqat ke liye betāb hai

    jis nāḳhun sāz-e-hastī ke liye mizrāb hai

    sho.ala ye kam-tar hai gardūñ ke sharāroñ se bhī kyā

    kam-bahā hai āftāb apnā sitāroñ se bhī kyā

    tuḳhm-e-gul aañkh zer-e-ḳhāk bhī be-ḳhvāb hai

    kis qadar nashv-o-numā ke vāste betāb hai

    zindagī sho.ala is daane meñ jo mastūr hai

    ḳhud-numā.ī ḳhud-fazā.ī ke liye majbūr hai

    sardi-e-marqad se bhī afsurda ho saktā nahīñ

    ḳhaak meñ dab kar bhī apnā soz kho saktā nahīñ

    phuul ban kar apnī turbat se nikal aatā hai ye

    maut se goyā qabā-e-zindagī paatā hai ye

    hai lahad is quvvat-e-āshufta shīrāza-band

    Dāltī hai gardan-e-gardūñ meñ jo apnī kamand

    maut tajdīd-e-mazāq-e-zindagī naam hai

    ḳhvāb ke parde meñ bedārī ik paiġhām hai

    ḳhūgar-e-parvāz ko parvāz meñ Dar kuchh nahīñ

    maut is gulshan meñ juz sanjīdan-e-par kuchh nahīñ

    kahte haiñ ahl-e-jahāñ dard-e-ajal hai lā-davā

    zaḳhm-e-furqat vaqt ke marham se paatā hai shifā

    dil magar ġham marne vāloñ jahāñ ābād hai

    halqa-e-zanjīr-e-sub.h-o-shām se āzād hai

    vaqt ke afsūñ se thamtā nāla-e-mātam nahīñ

    vaqt zaḳhm-e-teġh-e-furqat koī marham nahīñ

    sar pe aa jaatī hai jab koī musībat nā-gahāñ

    ashk paiham dīda-e-insāñ se hote haiñ ravāñ

    rabt ho jaatā hai dil ko naala o fariyād se

    ḳhūn-e-dil bahtā hai āñkhoñ sarishk-ābād se

    aadmī tāb-e-shakebā.ī se go mahrūm hai

    us fitrat meñ ye ik ehsās-e-nā-mālūm hai

    jauhar-e-insāñ adam se āshnā hotā nahīñ

    aañkh se ġhā.eb to hotā hai fanā hotā nahīñ

    raḳht-e-hastī ḳhāk-e-ġham sho.ala-afshānī se hai

    sard ye aag is latīf ehsās ke paanī se hai

    aah ye zabt-e-fuġhāñ ġhaflat ḳhāmoshī nahīñ

    āgahī hai ye dilāsā.ī farāmoshī nahīñ

    parda-e-mashriq se jis dam jalva-gar hotī hai sub.h

    daaġh shab dāman-e-āfāq se dhotī hai sub.h

    lāla-e-afsurda ko ātish-qabā kartī hai ye

    be-zabāñ taa.ir ko sarmast-e-navā kartī hai ye

    sīna-e-bulbul ke zindāñ se sarod āzād hai

    saikḌoñ naġhmoñ se bād-e-sub.h-dam-ābād hai

    ḳhuftagān-e-lāla-zār o kohsār o ruud baar

    hote haiñ āḳhir urūs-e-zindagī se ham-kanār

    ye agar ā.īn-e-hastī hai ki ho har shaam sub.h

    marqad-e-insāñ shab kyuuñ na ho anjām sub.h

    dām-e-sīmīn-e-taḳhayyul hai mirā āfāq-gīr

    kar liyā hai jis se terī yaad ko maiñ ne asiir

    yaad se terī dil-e-dard āshnā māmūr hai

    jaise ka.abe meñ duāoñ se fazā māmūr hai

    vo farā.ez tasalsul naam hai jis hayāt

    jalva-gāheñ us haiñ lākhoñ jahān-e-be-sabāt

    muḳhtalif har manzil-e-hastī ko rasm-o-rāh hai

    āḳhirat bhī zindagī ek jaulāñ-gāh hai

    hai vahāñ be-hāsilī kisht-e-ajal ke vāste

    sāzgār āb-o-havā tuḳhm-e-amal ke vāste

    nūr-e-fitrat zulmat-e-paikar zindānī nahīñ

    tañg aisā halqa-e-afkār-e-insānī nahīñ

    zindagānī thī tirī mahtāb se tābinda-tar

    ḳhūb-tar thā sub.h ke taare se bhī terā safar

    misl-e-aivān-e-sahar marqad farozāñ ho tirā

    nuur se māmūr ye ḳhākī shabistāñ ho tirā

    āsmāñ terī lahad par shabnam-afshānī kare

    sabza-e-nau-rasta is ghar nigahbānī kare

    zarra zarra dahr ka zindani-e-taqdir hai

    parda-e-majburi o bechaargi tadbir hai

    aasman majbur hai shams o qamar majbur hain

    anjum-e-simab-pa raftar par majbur hain

    hai shikast anjam ghunche ka subu gulzar mein

    sabza o gul bhi hain majbur-e-numu gulzar mein

    naghma-e-bulbul ho ya aawaz-e-KHamosh-e-zamir

    hai isi zanjir-e-alam-gir mein har shai asir

    aankh par hota hai jab ye sirr-e-majburi ayan

    KHushk ho jata hai dil mein ashk ka sail-e-rawan

    qalb-e-insani mein raqs-e-aish-o-gham rahta nahin

    naghma rah jata hai lutf-e-zer-o-bam rahta nahin

    ilm o hikmat rahzan-e-saman-e-ashk-o-ah hai

    yani ek almas ka TukDa dil-e-agah hai

    garche mere bagh mein shabnam ki shadabi nahin

    aankh meri maya-dar-e-ashk-e-unnabi nahin

    jaanta hun aah mein aalam-e-insani ka raaz

    hai nawa-e-shikwa se KHali meri fitrat ka saz

    mere lab par qissa-e-nairangi-e-dauran nahin

    dil mera hairan nahin KHanda nahin giryan nahin

    par teri taswir qasid girya-e-paiham ki hai

    aah ye tardid meri hikmat-e-mohkam ki hai

    girya-e-sarshaar se buniyaad-e-jaan painda hai

    dard ke irfan se aql-e-sang-dil sharminda hai

    mauj-e-dud-e-ah se aaina hai raushan mera

    ganj-e-ab-awrd se mamur hai daman mera

    hairati hun main teri taswir ke eajaz ka

    ruKH badal Dala hai jis ne waqt ki parwaz ka

    rafta o hazir ko goya pa-ba-pa is ne kiya

    ahd-e-tifli se mujhe phir aashna is ne kiya

    jab tere daman mein palti thi wo jaan-e-na-tawan

    baat se achchhi tarah mahram na thi jis ki zaban

    aur ab charche hain jis ki shoKHi-e-guftar ke

    be-baha moti hain jis ki chashm-e-gauhar-bar ke

    ilm ki sanjida-guftari buDhape ka shuur

    dunyawi eazaz ki shaukat jawani ka ghurur

    zindagi ki auj-gahon se utar aate hain hum

    sohbat-e-madar mein tifl-e-sada rah jate hain hum

    be-takalluf KHanda-zan hain fikr se aazad hain

    phir usi khoe hue firdaus mein aabaad hain

    kis ko ab hoga watan mein aah mera intizar

    kaun mera KHat na aane se rahega be-qarar

    KHak-e-marqad par teri le kar ye fariyaad aaunga

    ab dua-e-nim-shab mein kis ko main yaad aaunga

    tarbiyat se teri mein anjum ka ham-qismat hua

    ghar mere ajdad ka sarmaya-e-izzat hua

    daftar-e-hasti mein thi zarrin waraq teri hayat

    thi sarapa din o duniya ka sabaq teri hayat

    umr bhar teri mohabbat meri KHidmat-gar rahi

    main teri KHidmat ke qabil jab hua tu chal basi

    wo jawan-qamat mein hai jo surat-e-sarw-e-buland

    teri KHidmat se hua jo mujh se baDh kar bahra-mand

    karobar-e-zindagani mein wo ham-pahlu mera

    wo mohabbat mein teri taswir wo bazu mera

    tujh ko misl-e-tiflak-e-be-dast-o-pa rota hai wo

    sabr se na-ashna subh o masa rota hai wo

    tuKHm jis ka tu hamari kisht-e-jaan mein bo gai

    shirkat-e-gham se wo ulfat aur mohkam ho gai

    aah ye duniya ye matam-KHana-e-barna-o-pir

    aadmi hai kis tilism-e-dosh-o-farda mein asir

    kitni mushkil zindagi hai kis qadar aasan hai maut

    gulshan-e-hasti mein manind-e-nasim arzan hai maut

    zalzale hain bijliyan hain qaht hain aalam hain

    kaisi kaisi duKHtaran-e-madar-e-ayyam hain

    kalba-e-iflas mein daulat ke kashane mein maut

    dasht o dar mein shahr mein gulshan mein virane mein maut

    maut hai hangama-ara qulzum-e-KHamosh mein

    Dub jate hain safine mauj ki aaghosh mein

    ne majal-e-shikwa hai ne taqat-e-guftar hai

    zindagani kya hai ek tauq-e-gulu-afshaar hai

    qafile mein ghair fariyaad-e-dira kuchh bhi nahin

    ek mata-e-dida-e-tar ke siwa kuchh bhi nahin

    KHatm ho jaega lekin imtihan ka daur bhi

    hain pas-e-noh parda-e-gardun abhi daur aur bhi

    sina chaak is gulsitan mein lala-o-gul hain to kya

    nala o fariyaad par majbur bulbul hain to kya

    jhaDiyan jin ke qafas mein qaid hai aah-e-KHizan

    sabz kar degi unhen baad-e-bahaar-e-jawedan

    KHufta-KHak-e-pai sipar mein hai sharar apna to kya

    aarzi mahmil hai ye musht-e-ghubar apna to kya

    zindagi ki aag ka anjam KHakistar nahin

    TuTna jis ka muqaddar ho ye wo gauhar nahin

    zindagi mahbub aisi dida-e-qudrat mein hai

    zauq-e-hifz-e-zindagi har chiz ki fitrat mein hai

    maut ke hathon se miT sakta agar naqsh-e-hayat

    aam yun us ko na kar deta nizam-e-kaenat

    hai agar arzan to ye samjho ajal kuchh bhi nahin

    jis tarah sone se jine mein KHalal kuchh bhi nahin

    aah ghafil maut ka raaz-e-nihan kuchh aur hai

    naqsh ki na-paedari se ayan kuchh aur hai

    jannat-e-nazara hai naqsh-e-hawa baala-e-ab

    mauj-e-muztar toD kar tamir karti hai habab

    mauj ke daman mein phir us ko chhupa deti hai ye

    kitni bedardi se naqsh apna miTa deti hai ye

    phir na kar sakti habab apna agar paida hawa

    toDne mein us ke yun hoti na be-parwa hawa

    is rawish ka kya asar hai haiyat-e-tamir par

    ye to hujjat hai hawa ki quwwat-e-tamir par

    fitrat-e-hasti shahid-e-arzu rahti na ho

    KHub-tar paikar ki us ko justuju rahti na ho

    aah simab-e-pareshan anjum-e-gardun-faroz

    shoKH ye chingariyan mamnun-e-shab hai jin ka soz

    aql jis se sar-ba-zanu hai wo muddat in ki hai

    sarguzisht-e-nau-e-insan ek saat un ki hai

    phir ye insan aan su-e-aflak hai jis ki nazar

    qudsiyon se bhi maqasid mein hai jo pakiza-tar

    jo misal-e-shama raushan mahfil-e-qudrat mein hai

    aasman ek nuqta jis ki wusat-e-fitrat mein hai

    jis ki nadani sadaqat ke liye betab hai

    jis ka naKHun saz-e-hasti ke liye mizrab hai

    shoala ye kam-tar hai gardun ke shararon se bhi kya

    kam-baha hai aaftab apna sitaron se bhi kya

    tuKHm-e-gul ki aankh zer-e-KHak bhi be-KHwab hai

    kis qadar nashw-o-numa ke waste betab hai

    zindagi ka shoala is dane mein jo mastur hai

    KHud-numai KHud-fazai ke liye majbur hai

    sardi-e-marqad se bhi afsurda ho sakta nahin

    KHak mein dab kar bhi apna soz kho sakta nahin

    phul ban kar apni turbat se nikal aata hai ye

    maut se goya qaba-e-zindagi pata hai ye

    hai lahad is quwwat-e-ashufta ki shiraaza-band

    Dalti hai gardan-e-gardun mein jo apni kamand

    maut tajdid-e-mazaq-e-zindagi ka nam hai

    KHwab ke parde mein bedari ka ek paigham hai

    KHugar-e-parwaz ko parwaz mein Dar kuchh nahin

    maut is gulshan mein juz sanjidan-e-par kuchh nahin

    kahte hain ahl-e-jahan dard-e-ajal hai la-dawa

    zaKHm-e-furqat waqt ke marham se pata hai shifa

    dil magar gham marne walon ka jahan aabaad hai

    halqa-e-zanjir-e-subh-o-sham se aazad hai

    waqt ke afsun se thamta nala-e-matam nahin

    waqt zaKHm-e-tegh-e-furqat ka koi marham nahin

    sar pe aa jati hai jab koi musibat na-gahan

    ashk paiham dida-e-insan se hote hain rawan

    rabt ho jata hai dil ko nala o fariyaad se

    KHun-e-dil bahta hai aankhon ki sarishk-abaad se

    aadmi tab-e-shakebai se go mahrum hai

    us ki fitrat mein ye ek ehsas-e-na-malum hai

    jauhar-e-insan adam se aashna hota nahin

    aankh se ghaeb to hota hai fana hota nahin

    raKHt-e-hasti KHak-e-gham ki shoala-afshani se hai

    sard ye aag is latif ehsas ke pani se hai

    aah ye zabt-e-fughan ghaflat ki KHamoshi nahin

    aagahi hai ye dilasai faramoshi nahin

    parda-e-mashriq se jis dam jalwa-gar hoti hai subh

    dagh shab ka daman-e-afaq se dhoti hai subh

    lala-e-afsurda ko aatish-qaba karti hai ye

    be-zaban tair ko sarmast-e-nawa karti hai ye

    sina-e-bulbul ke zindan se sarod aazad hai

    saikDon naghmon se baad-e-subh-dam-abaad hai

    KHuftagan-e-lala-zar o kohsar o rud bar

    hote hain aaKHir urus-e-zindagi se ham-kanar

    ye agar aain-e-hasti hai ki ho har sham subh

    marqad-e-insan ki shab ka kyun na ho anjam subh

    dam-e-simin-e-taKHayyul hai mera aafaq-gir

    kar liya hai jis se teri yaad ko main ne asir

    yaad se teri dil-e-dard aashna mamur hai

    jaise kabe mein duaon se faza mamur hai

    wo faraez ka tasalsul nam hai jis ka hayat

    jalwa-gahen us ki hain lakhon jahan-e-be-sabaat

    muKHtalif har manzil-e-hasti ko rasm-o-rah hai

    aaKHirat bhi zindagi ki ek jaulan-gah hai

    hai wahan be-hasili kisht-e-ajal ke waste

    sazgar aab-o-hawa tuKHm-e-amal ke waste

    nur-e-fitrat zulmat-e-paikar ka zindani nahin

    tang aisa halqa-e-afkar-e-insani nahin

    zindagani thi teri mahtab se tabinda-tar

    KHub-tar tha subh ke tare se bhi tera safar

    misl-e-aiwan-e-sahar marqad farozan ho tera

    nur se mamur ye KHaki shabistan ho tera

    aasman teri lahad par shabnam-afshani kare

    sabza-e-nau-rasta is ghar ki nigahbani kare

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Zulfiqar Ali Bukhari

    Zulfiqar Ali Bukhari

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    walida marhuma ki yaad mein Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now