Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

man

Interesting Fact

(12th April, 2004, On the death of a body whose soul was killed a long time ago)

tamām lafzoñ meñ raushan har ik baab meñ maañ

junūñ ke shelf meñ hai ishq kitāb meñ maañ

ai maañ to ḳhushbū nāyāb isti.āra hai

ai maañ uud meñ ambar meñ gulāb meñ maañ

ḳhud apnī mamtā meñ nuur samundar hai

nahīñ hai aur kisī raushnī taab meñ maañ

vo jism kho ke badal ga.ī hai kuchh mujh meñ

thī pahle sirf savāl ab hai har javāb meñ maañ

mire savāloñ ke saare javāb le aa.ī

chalī ga.ī thī magar lauTī phir se ḳhvāb meñ maañ

maiñ jab bhī zab.h huī zindagī ke ḳhanjar se

dukhī hai ḳhvāboñ meñ ik dasht-e-iztirāb meñ maañ

gañvā ke jism vo fursat se i mere paas

sisak sisak ke sunāyā thī kis azaab meñ maañ

maiñ maañ zinda nigāhoñ ko ḳhud meñ jiitī huuñ

har inqalāb meñ har dam har āb-o-tāb meñ maañ

mire uruuj vo silsila in.ām-o-sazā

mire zavāl meñ har zinda inqalāb meñ maañ

tujhe lubhāne ko maiñ satrañgī banī thī maañ

ye chhupī hai kis parda-e-ġhayāb meñ maañ

bañdhī haiñ āñkheñ mirī ab bhī maut ke pul se

hai har sukūt meñ ḳhāmosh iztirāb meñ maañ

umaD rahe haiñ har ik pal se maut ke ThaTThe

vo rahī hai mirī panja-e-uqāb meñ maañ

vo jism haar ga.ī maut se magar mujh meñ

vo ke goyā hai phir maut se javāb meñ maañ

tamam lafzon mein raushan har ek bab mein man

junun ke shelf mein hai ishq ki kitab mein man

ai man to KHushbu ka nayab istiara hai

ai man tu ud mein ambar mein tu gulab mein man

KHud apni mamta mein hi nur ka samundar hai

nahin hai aur kisi raushni ki tab mein man

wo jism kho ke badal si gai hai kuchh mujh mein

thi pahle sirf sawal ab hai har jawab mein man

mere sawalon ke sare jawab le aai

chali gai thi magar lauTi phir se KHwab mein man

main jab bhi zabh hui zindagi ke KHanjar se

dukhi hai KHwabon mein ek dasht-e-iztirab mein man

ganwa ke jism wo fursat se i mere pas

sisak sisak ke sunaya thi kis azab mein man

main man ki zinda nigahon ko KHud mein jiti hun

har inqalab mein har dam har aab-o-tab mein man

mere uruj ka wo silsila inam-o-saza

mere zawal mein har zinda inqalab mein man

tujhe lubhane ko main satrangi bani thi man

ye ja chhupi hai tu kis parda-e-ghayab mein man

bandhi hain aankhen meri ab bhi maut ke pul se

hai har sukut mein KHamosh iztirab mein man

umaD rahe hain har ek pal se maut ke ThaTThe

wo ja rahi hai meri panja-e-uqab mein man

wo jism haar gai maut se magar mujh mein

wo ji ke goya hai phir maut se jawab mein man

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now