Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jugnu

Interesting Fact

biis baras ke us naujavan kii dastan jis ki maan us din mar gai jis din vo paida hua.

ye mast mast ghaTā, ye bharī bharī barsāt

tamām hadd-e-nazar tak ghulāvaToñ samāñ

fazā-e-shām meñ Dore se paḌte jaate haiñ

jidhar nigāh kareñ kuchh dhuāñ uThtā hai

dahak uThā hai tarāvat aañch se ākāsh

ze-farsh tā-falak añgḌā.iyoñ aalam hai

ye mad-bharī huī purvā.iyāñ sanaktī huī

jhinjhoḌtī hai harī Dāliyoñ ko sard havā

ye shāḳh-sār ke jhūloñ meñ peñg paḌte hue

ye lākhoñ pattiyoñ nāchnā ye raqs-e-nabāt

ye be-ḳhudī-e-musarrat ye vālihāna raqs

ye tāl-sam ye chhamā-chham ki kaan bajte haiñ

havā ke dosh pe kuchh uudī uudī shakloñ

nashe meñ chuur parchhā.iyāñ thiraktī huī

ufuq pe Dūbte din jhapaktī haiñ āñkheñ

ḳhamosh soz-e-darūñ se sulag rahī hai ye shām!

mire makān ke aage hai ek chauḌā sahn vasī.a

kabhī vo hañstā nazar aatā hai kabhī vo udaas

isī ke biich meñ hai ek peḌ pīpal

sunā hai maiñ ne buzurgoñ se ye ki umr us

jo kuchh na hogī to hogī qarīb chhiyānve saal

chhiḌī thī hind meñ jab pahlī jañg-e-āzādī

jise dabāne ke ba.ad us ko ġhadr kahne lage

ye ahl-e-hind bhī hote haiñ kis qadar ma.asūm

vo dār-o-gīr vo āzādī-e-vatan jañg

vatan se thī ki ġhanīm-e-vatan se ġhaddārī

biphar ga.e the hamāre vatan ke piir o javāñ

dayār-e-hind meñ ran paḌ gayā thā chaar taraf

usī zamāne meñ kahte haiñ mere daadā ne

jab arz-e-hind siñchī ḳhuun se ''sapūtoñ'' ke

miyān-e-sahn lagāyā thā ke ik paudā

jo āb-o-ātish-o-ḳhāk-o-havā se paltā huā

ḳhud apne qad se ba-josh-e-numū nikaltā huā

fusūn-e-rūh banātī ragoñ meñ chaltā huā

nigāh-e-shauq ke sāñchoñ meñ roz Dhaltā huā

sunā hai rāviyoñ se dīdanī thī us uThān

har ik ke dekhte dekhte chaḌhā parvān

vahī hai aaj ye chhitnār peḌ pīpal

vo Tahniyoñ ke kamanDal liye jaTādhārī

zamāna dekhe hue hai ye peḌ bachpan se

rahī hai is ke liye dāḳhlī kashish mujh meñ

rahā huuñ dekhtā chup-chāp der tak us ko

maiñ kho gayā huuñ ka.ī baar is nazāre meñ

vo us gahrī jaḌeñ thiiñ ki zindagī jaḌeñ?

pas-e-sukūn-e-shajar koī dil dhaḌaktā thā

maiñ dekhtā thā use hastī-e-bashar tarah

kabhī udaas kabhī shādmāñ kabhī gambhīr

fazā surma.ī rañg aur ho chalā gahrā

ghulā ghulā falak hai dhuāñ dhuāñ hai shaam

hai jhuTpuTā ki koī azhdahā hai mā.il-e-ḳhvāb

sukūt-e-shām meñ darmāndagī aalam hai

rukī rukī kisī soch meñ hai mauj-e-sabā

rukī rukī safeñ malgajī ghaTāoñ

utaar par hai sar-e-sahn raqs pīpal

vo kuchh nahīñ hai ab ik jumbish-e-ḳhafī ke sivā

ḳhud apnī kaifiyat-e-nīl-gūñ meñ har lahza

ye shaam Dūbtī jaatī hai chhuptī jaatī hai

hijāb-e-vaqt sire se hai be-his-o-harakat

rukī rukī dil-e-fitrat dhaḌkaneñ yak-laḳht

ye rañg-e-shām ki gardish āsmāñ meñ nahīñ

bas ek vaqfa-e-tārīk, lamha-e-shahlā

samā meñ jumbish-e-mub.ham kuchh huī fauran

tulī ghaTā ke tale bhīge bhīge pattoñ se

harī harī ka.ī chiñgāriyāñ phuuT paḌīñ

ki jaise khultī jhapaktī hoñ be-shumār āñkheñ

ajab ye āñkh-micholī thī nūr-o-zulmat

suhānī narm laveñ dete an-ginat jugnū

ghanī siyāh ḳhunuk pattiyoñ ke jhurmuT se

misāl-e-chādar-e-shab-tāb jagmagāne lage

ki thartharāte hue āñsuoñ se sāġhar-e-shām

chhalak chhalak paḌe jaise baġhair saan gumān

butūn-e-shām meñ in zinda qumqumoñ damak

kisī soī huī yaad ko jagātī thī

vo be-panāh ghaTā vo bharī bharī barsāt

vo scene dekh ke āñkheñ mirī bhar aatī thiiñ

mirī hayāt ne dekhī haiñ biis barsāteñ

mire janam ke din mar ga.ī thī maañ merī

vo maañ ki shakl bhī jis maañ maiñ na dekh sakā

jo aañkh bhar ke mujhe dekh bhī sakī na vo maañ

maiñ vo pisar huuñ jo samjhā nahīñ ki maañ kyā hai

mujhe khilā.iyoñ aur dā.iyoñ ne paalā thā

vo mujh se kahtī thiiñ jab ghir ke aatī thī barsāt

jab āsmān meñ har ghaTā.eñ chhātī thiiñ

ba-vaqt-e-shām jab uḌte the har taraf jugnū

diye dikhāte haiñ ye bhūlī-bhaTkī rūhoñ ko

maza bhī aatā thā mujh ko kuchh un bātoñ meñ

maiñ un bātoñ meñ rah rah ke kho bhī jaatā thā

par is ke saath dil meñ kasak hotī thī

kabhī kabhī ye kasak huuk ban ke uThtī thī

yatīm dil ko mire ye ḳhayāl hotā thaa!

ye shaam mujh ko banā detī kaash ik jugnū

to maañ bhaTkī huī ruuh ko dikhātā raah

kahāñ kahāñ vo bichārī bhaTak rahī hogī

kahāñ kahāñ mirī ḳhātir bhaTak rahī hogī

ye soch kar mirī hālat ajiib ho jaatī

palak oT meñ jugnū chamakne lagte the

kabhī kabhī to mirī hichkiyāñ bañdh jātīñ

ki maañ ke paas kisī tarah maiñ pahuñch jā.ūñ

aur us ko raah dikhātā huā maiñ ghar lā.ūñ

dikhā.ūñ apne khilaune dikhā.ūñ apnī kitāb

kahūñ ki paḌh ke sunā to mirī kitāb mujhe

phir is ke ba.ad dikhā.ūñ use maiñ vo copy

ki teḌhī-meḌhī lakīreñ banī thiiñ kuchh jis meñ

ye harf the jinheñ maiñ ne likkhā thā pahle-pahal

aur us ko raah dikhātā huā maiñ ghar lā.ūñ

dikhā.ūñ phir use āñgan meñ vo gulāb bel

sunā hai jis ko usī ne kabhī lagāyā thā

ye jab ki baat hai jab merī umr kyā thī

nazar se guzrī thiiñ kal chaar pāñch barsāteñ

guzar rahe the mah-o-sāl aur mausam par

hamāre shahar meñ aatī thī ghir ke jab barsāt

jab āsmān meñ uḌte the har taraf jugnū

havā mauj-e-ravāñ par diye jalā.e hue

fazā meñ raat ga.e jab daraḳht pīpal kaa!

hazāroñ jugnuoñ se koh-e-tūr bantā thā

hazāroñ vādī-e-aiman thiiñ jis shāḳhoñ meñ

ye dekh kar mire dil meñ ye huuk uThtī thī

ki maiñ bhī hotā inhīñ jugnuoñ meñ ik jugnū

to maañ bhaTkī huī ruuh ko dikhātā raah

vo maañ maiñ jis mohabbat ke phuul chun na sakā

vo maañ maiñ jis se mohabbat ke bol sun na sakā

vo maañ ki bheñch ke jis ko kabhī maiñ so na sakā

maiñ jis ke āñchaloñ meñ muñh chhupā ke ro na sakā

vo maañ ki ghuTnoñ se jis ke kabhī lipaT na sakā

vo maañ ki siine se jis ke kabhī chimaT na sakā

humak ke god meñ jis kabhī maiñ chaḌh na sakā

maiñ zer-e-sāya-e-ummīd jis ke baḌh na sakā

vo maañ maiñ jis se sharārat daad na sakā

maiñ jis ke hāthoñ mohabbat maar khā na sakā

sañvārā jis ne na mere jhanDūle bāloñ ko

basā sakī na jo hoñToñ se suune gāloñ ko

jo merī ā.ankhoñ meñ āñkheñ kabhī na Daal sakī

na apne hāthoñ se mujh ko kabhī uchhāl sakī

vo maañ jo koī kahānī mujhe sunā na sakī

mujhe sulāne ko jo loriyāñ bhī na sakī

vo maañ jo duudh bhī apnā mujhe pilā na sakī

vo maañ jo haath se apne mujhe khilā na sakī

vo maañ gale se mujhe jo kabhī lagā na sakī

vo maañ jo dekhte mujh ko muskurā na sakī

kabhī jo mujh se miThā.ī chhupā ke rakh na sakī

kabhī jo mujh se dahī bhī bachā ke rakh na sakī

maiñ jis ke haath meñ kuchh dekh kar Dahak na sakā

paTak paTak ke kabhī paañv maiñ Thunak na sakā

kabhī na khīñchā sharārat se jis āñchal bhī

rachā sakī mirī ā.ankhoñ meñ jo na kājal bhī

vo maañ jo mere liye titliyāñ pakaḌ na sakī

jo bhāgte hue baazū mire jakaḌ na sakī

baḌhāyā pyaar kabhī kar ke pyaar meñ na kamī

jo muñh banā ke kisī din na mujh se ruuTh sakī

jo ye bhī kah na sakī na bolūñgī tujh se

jo ek baar ḳhafā bhī na ho sakī mujh se

vo jis ko jūThā lagā muñh kabhī dikhā na sakā

kasāfatoñ pe mirī jis ko pyaar aa na sakā

jo miTTī khāne pe mujh ko kabhī na piiT sakī

na haath thaam ke mujh ko kabhī ghasīT sakī

vo maañ jo guftugū rau meñ sun ke merī baḌ

kabhī jo pyaar se mujh ko na kah sakī ghāmaḌ

sharāratoñ se mirī jo kabhī ulajh na sakī

himāqatoñ mirī falsafa samajh na sakī

vo maañ kabhī jise chauñkāne ko maiñ luk na sakā

maiñ raah chheñkne ko jis ke aage ruk na sakā

jo apne haath se bahrūp mere bhar na sakī

jo apnī ā.ankhoñ ko ā.īna merā kar na sakī

gale meñ Daalī na bāhoñ phūl-mālā bhī

na dil meñ lauh-e-jabīñ se kiyā ujālā bhī

vo maañ kabhī jo mujhe baddhiyāñ pahnā na sakī

kabhī mujhe na.e kapḌoñ se jo sajā na sakī

vo maañ na jis se laḌakpan ke jhuuT bol sakā

na jis ke dil ke darāñ kunjiyoñ se khol sakā

vo maañ maiñ paise bhī jis ke kabhī churā na sakā

sazā se bachne ko jhūTī qasam bhī khā na sakā

vo maañ ki āyat-e-rahmat hai jis chīn-e-jabīñ

vo maañ ki haañ se bhī hotī hai baḌh ke jis nahīñ

dam-e-itāb jo bantī farishta rahmat

jo raag chheḌtī jhuñjhlā ke bhī mohabbat

vo maañ ki ghuḌkiyāñ bhī jis ke giit ban jaa.eñ

vo maañ ki jhiḌkiyāñ bhī jis phuul barsā.eñ

vo maañ ham us se jo dam bhar ko dushmanī kar leñ

to ye na kah sake ab aao dostī kar leñ

kabhī jo sun na sakī merī totlī bāteñ

jo de sakī na kabhī thappaḌoñ sauġhāteñ

vo maañ bahut se khilaune jo mujh ko de na sakī

ḳhirāj-e-sar-ḳhushī-e-sarmadī jo le na sakī

vo maañ maiñ jis se laḌā.ī kabhī na Thaan sakā

vo maañ maiñ jis pe kabhī muTThiyāñ na taan sakā

vo merī maañ maiñ kabhī jis piiTh par na chaḌhā

vo merī maañ kabhī kuchh jis ke kaan meñ na rakhā

vo maañ kabhī jo mujhe kardhanī pinhā na sakī

jo taal haath se de kar mujhe nachā na sakī

jo mere haath se ik din davā bhī na sakī

ki mujh ko zindagī dene meñ jaan de

vo maañ na dekh sakā zindagī meñ jis chaah

usī bhaTaktī huī ruuh ko dikhātā raah

ye soch soch ke āñkheñ mirī bhar aatī thiiñ

to ke suune bichhaune pe leT rahtā thā

kisī se ghar meñ na raaz apne dil ke kahtā thā

yatīm thī mirī duniyā, yatīm merī hayāt

yatīm shām-o-sahar thii, yatīm the shab-o-roz

yatīm merī paḌhā.ī thī mere khel yatīm

yatīm merī masarrat thī merā ġham bhī yatīm

yatīm āñsuoñ se takiya bhiig jaatā thā

kisī se ghar meñ na kahtā thā apne dil bhed

har ik se duur akelā udaas rahtā thā

kisī shamā.il-e-nādīda ko maiñ taktā thā

maiñ ek vahshat-e-be-nām se haḌaktā thā

guzar rahe the mah-o-sāl aur mausam par

isī tarah ka.ī barsāteñ aa.iiñ aur ga.iiñ

maiñ rafta rafta pahuñchne lagā ba-sinn-e-shu.ūr

to jugnuoñ haqīqat samajh meñ aane lagī

ab un khilā.iyoñ aur dā.iyoñ bātoñ par

mirā yaqīñ na rahā mujh pe ho gayā zāhir

ki bhaTkī rūhoñ ko jugnū nahīñ dikhāte charāġh

vo man-ghaḌat kahānī thī ik fasāna thā

vo be-paḌhī likhī kuchh auratoñ thī bakvās

bhaTaktī rūhoñ ko jugnū nahīñ dikhāte charāġh

ye khul gayā mire bahlāne ko thiiñ ye bāteñ

mirā yaqīñ na rahā in fuzūl qissoñ par

hamāre shahar meñ aatī haiñ ab bhī barsāteñ

hamāre shahar par ab bhī ghaTā.eñ chhātī haiñ

hanūz bhīgī huī surma.ī fazāoñ meñ

ḳhutūt-e-nūr banātī haiñ jugnuoñ safeñ

fazā-e-tīra meñ uḌtī huī ye qindīleñ

magar maiñ jaan chukā huuñ ise baḌā ho kar

kisī ruuh ko jugnū nahīñ dikhāte raah

kahā gayā thā jo bachpan meñ mujh se jhuuT thā sab

magar kabhī kabhī hasrat se dil meñ kahtā huuñ

ye jānte hue jugnū nahīñ dikhāte charāġh

kisī bhaTaktī huī ruuh ko magar phir bhī

vo jhuuT sahī kitnā hasīn jhuuT thā vo

jo mujh se chhīn liyā umr ke taqāze ne

maiñ kyā batā.ūñ vo kitnī hasīn duniyā thī

jo baḌhtī umr ke hāthoñ ne chhīn mujh se

samajh sake koī ai kaash ahd-e-tiflī ko

jahān dekhnā miTTī ke ek reze ko

numūd-e-lāla-e-ḳhud-rau meñ dekhnā jannat

kare nazāra-e-kaunain ik gharauñde meñ

uThā ke rakh le ḳhudā.ī ko jo hathelī par

kare davām ko jo qaid ek lamhe meñ

sunā? vo qādir-e-mutlaq hai ek nannhī jaan

ḳhudā bhī sajde meñ jhuk jaa.e sāmne us ke

ye aql-o-fahm baḌī chiiz haiñ mujhe taslīm

magar lagā nahīñ sakte ham is andāza

ki aadmī ko ye paḌtī haiñ kis qadar mahñgī

ik ek kar ke vo tiflī ke har ḳhayāl maut

bulūġh-e-sin meñ vo sadme na.e ḳhayāloñ ke

na.e ḳhayāl dhachkā na.e ḳhayāl Tiis

na.e tasavvuroñ karb, al-amāñ ki hayāt

tamām zaḳhm nihāñ hai tamām nashtar hai

ye choT khā ke sambhalnā muhāl hotā hai

sukūt raat jis vaqt chheḌtā hai sitār

kabhī kabhī tirī paa.el aatī hai jhankār

to merī ā.ankhoñ se motī barasne lagte haiñ

añdherī raat ke parchhāveñ Dasne lagte haiñ

maiñ jugnū ban ke to tujh tak pahuñch nahīñ saktā

jo tujh se ho sake ai maañ vo tarīqa batā

jis ko le vo kāġhaz uchhāl duuñ kaise

ye nazm maiñ tire qadmoñ meñ Daal duuñ kaise

nava-e-dard se kuchh to ho gayā halkā

magar jab aatī hai barsāt kyā karūñ is ko

jab āsmān meñ uḌte haiñ har taraf jugnū

sharāb-e-nūr liye sabz ābgīnoñ meñ

kañval jalāte hue zulmatoñ ke sīnoñ meñ

jab un tābish-e-be-sāḳhta se pīpal

daraḳht sarv-e-charāġhāñ ko maat kartā hai

na jaane kis liye āñkheñ mirī bhar aatī haiñ

ye mast mast ghaTa, ye bhari bhari barsat

tamam hadd-e-nazar tak ghulawaTon ka saman

faza-e-sham mein Dore se paDte jate hain

jidhar nigah karen kuchh dhuan sa uThta hai

dahak uTha hai tarawat ki aanch se aakash

ze-farsh ta-falak angDaiyon ka aalam hai

ye mad-bhari hui purwaiyan sanakti hui

jhinjhoDti hai hari Daliyon ko sard hawa

ye shaKH-sar ke jhulon mein peng paDte hue

ye lakhon pattiyon ka nachna ye raqs-e-nabaat

ye be-KHudi-e-musarrat ye walihana raqs

ye tal-sam ye chhama-chham ki kan bajte hain

hawa ke dosh pe kuchh udi udi shaklon ki

nashe mein chur si parchhaiyan thirakti hui

ufuq pe Dubte din ki jhapakti hain aankhen

KHamosh soz-e-darun se sulag rahi hai ye sham!

mere makan ke aage hai ek chauDa sahn wasia

kabhi wo hansta nazar aata hai kabhi wo udas

isi ke bich mein hai ek peD pipal ka

suna hai main ne buzurgon se ye ki umr us ki

jo kuchh na hogi to hogi qarib chhiyanwe sal

chhiDi thi hind mein jab pahli jang-e-azadi

jise dabane ke baad us ko ghadr kahne lage

ye ahl-e-hind bhi hote hain kis qadar masum

wo dar-o-gir wo aazadi-e-watan ki jang

watan se thi ki ghanim-e-watan se ghaddari

biphar gae the hamare watan ke pir o jawan

dayar-e-hind mein ran paD gaya tha chaar taraf

usi zamane mein kahte hain mere dada ne

jab arz-e-hind sinchi KHun se saputon ke

miyan-e-sahn lagaya tha la ke ek pauda

jo aab-o-atish-o-KHak-o-hawa se palta hua

KHud apne qad se ba-josh-e-numu nikalta hua

fusun-e-ruh banati ragon mein chalta hua

nigah-e-shauq ke sanchon mein roz Dhalta hua

suna hai rawiyon se didani thi us ki uThan

har ek ke dekhte hi dekhte chaDha parwan

wahi hai aaj ye chhitnar peD pipal ka

wo Tahniyon ke kamanDal liye jaTadhaari

zamana dekhe hue hai ye peD bachpan se

rahi hai is ke liye daKHli kashish mujh mein

raha hun dekhta chup-chap der tak us ko

main kho gaya hun kai bar is nazare mein

wo us ki gahri jaDen thin ki zindagi ki jaDen?

pas-e-sukun-e-shajar koi dil dhaDakta tha

main dekhta tha use hasti-e-bashar ki tarah

kabhi udas kabhi shadman kabhi gambhir

faza ka surmai rang aur ho chala gahra

ghula ghula sa falak hai dhuan dhuan si hai sham

hai jhuTpuTa ki koi azhdaha hai mail-e-KHwab

sukut-e-sham mein darmandagi ka aalam hai

ruki ruki si kisi soch mein hai mauj-e-saba

ruki ruki si safen malgaji ghaTaon ki

utar par hai sar-e-sahn raqs pipal ka

wo kuchh nahin hai ab ek jumbish-e-KHafi ke siwa

KHud apni kaifiyat-e-nil-gun mein har lahza

ye sham Dubti jati hai chhupti jati hai

hijab-e-waqt sire se hai be-his-o-harakat

ruki ruki dil-e-fitrat ki dhaDkanen yak-laKHt

ye rang-e-sham ki gardish hi aasman mein nahin

bas ek waqfa-e-tarik, lamha-e-shahla

sama mein jumbish-e-mubham si kuchh hui fauran

tuli ghaTa ke tale bhige bhige patton se

hari hari kai chingariyan si phuT paDin

ki jaise khulti jhapakti hon be-shumar aankhen

ajab ye aankh-micholi thi nur-o-zulmat ki

suhani narm lawen dete an-ginat jugnu

ghani siyah KHunuk pattiyon ke jhurmuT se

misal-e-chadar-e-shab-tab jagmagane lage

ki thartharaate hue aansuon se saghar-e-sham

chhalak chhalak paDe jaise baghair san guman

butun-e-sham mein in zinda qumqumon ki damak

kisi ki soi hui yaad ko jagati thi

wo be-panah ghaTa wo bhari bhari barsat

wo scene dekh ke aankhen meri bhar aati thin

meri hayat ne dekhi hain bis barsaten

mere janam hi ke din mar gai thi man meri

wo man ki shakl bhi jis man ki main na dekh saka

jo aankh bhar ke mujhe dekh bhi saki na wo man

main wo pisar hun jo samjha nahin ki man kya hai

mujhe khilaiyon aur daiyon ne pala tha

wo mujh se kahti thin jab ghir ke aati thi barsat

jab aasman mein har su ghaTaen chhati thin

ba-waqt-e-sham jab uDte the har taraf jugnu

diye dikhate hain ye bhuli-bhaTki ruhon ko

maza bhi aata tha mujh ko kuchh un ki baaton mein

main un ki baaton mein rah rah ke kho bhi jata tha

par is ke sath hi dil mein kasak si hoti thi

kabhi kabhi ye kasak huk ban ke uThti thi

yatim dil ko mere ye KHayal hota tha!

ye sham mujh ko bana deti kash ek jugnu

to man ki bhaTki hui ruh ko dikhata rah

kahan kahan wo bichaari bhaTak rahi hogi

kahan kahan meri KHatir bhaTak rahi hogi

ye soch kar meri haalat ajib ho jati

palak ki oT mein jugnu chamakne lagte the

kabhi kabhi to meri hichkiyan si bandh jatin

ki man ke pas kisi tarah main pahunch jaun

aur us ko rah dikhata hua main ghar laun

dikhaun apne khilaune dikhaun apni kitab

kahun ki paDh ke suna to meri kitab mujhe

phir is ke baad dikhaun use main wo copy

ki teDhi-meDhi lakiren bani thin kuchh jis mein

ye harf the jinhen main ne likkha tha pahle-pahal

aur us ko rah dikhata hua main ghar laun

dikhaun phir use aangan mein wo gulab ki bel

suna hai jis ko usi ne kabhi lagaya tha

ye jab ki baat hai jab meri umr hi kya thi

nazar se guzri thin kal chaar panch barsaten

guzar rahe the mah-o-sal aur mausam par

hamare shahar mein aati thi ghir ke jab barsat

jab aasman mein uDte the har taraf jugnu

hawa ki mauj-e-rawan par diye jalae hue

faza mein raat gae jab daraKHt pipal ka!

hazaron jugnuon se koh-e-tur banta tha

hazaron wadi-e-aiman thin jis ki shaKHon mein

ye dekh kar mere dil mein ye huk uThti thi

ki main bhi hota inhin jugnuon mein ek jugnu

to man ki bhaTki hui ruh ko dikhata rah

wo man main jis ki mohabbat ke phul chun na saka

wo man main jis se mohabbat ke bol sun na saka

wo man ki bhench ke jis ko kabhi main so na saka

main jis ke aanchalon mein munh chhupa ke ro na saka

wo man ki ghuTnon se jis ke kabhi lipaT na saka

wo man ki sine se jis ke kabhi chimaT na saka

humak ke god mein jis ki kabhi main chaDh na saka

main zer-e-saya-e-ummid jis ke baDh na saka

wo man main jis se shararat ki dad pa na saka

main jis ke hathon mohabbat ki mar kha na saka

sanwara jis ne na mere jhanDule baalon ko

basa saki na jo honTon se sune galon ko

jo meri aaankhon mein aankhen kabhi na Dal saki

na apne hathon se mujh ko kabhi uchhaal saki

wo man jo koi kahani mujhe suna na saki

mujhe sulane ko jo loriyan bhi ga na saki

wo man jo dudh bhi apna mujhe pila na saki

wo man jo hath se apne mujhe khila na saki

wo man gale se mujhe jo kabhi laga na saki

wo man jo dekhte hi mujh ko muskura na saki

kabhi jo mujh se miThai chhupa ke rakh na saki

kabhi jo mujh se dahi bhi bacha ke rakh na saki

main jis ke hath mein kuchh dekh kar Dahak na saka

paTak paTak ke kabhi panw main Thunak na saka

kabhi na khincha shararat se jis ka aanchal bhi

racha saki meri aaankhon mein jo na kajal bhi

wo man jo mere liye titliyan pakaD na saki

jo bhagte hue bazu mere jakaD na saki

baDhaya pyar kabhi kar ke pyar mein na kami

jo munh bana ke kisi din na mujh se ruTh saki

jo ye bhi kah na saki ja na bolungi tujh se

jo ek bar KHafa bhi na ho saki mujh se

wo jis ko juTha laga munh kabhi dikha na saka

kasafaton pe meri jis ko pyar aa na saka

jo miTTi khane pe mujh ko kabhi na piT saki

na hath tham ke mujh ko kabhi ghasiT saki

wo man jo guftugu ki rau mein sun ke meri baD

kabhi jo pyar se mujh ko na kah saki ghamaD

shararaton se meri jo kabhi ulajh na saki

himaqaton ka meri falsafa samajh na saki

wo man kabhi jise chaunkane ko main luk na saka

main rah chhenkne ko jis ke aage ruk na saka

jo apne hath se bahrup mere bhar na saki

jo apni aaankhon ko aaina mera kar na saki

gale mein Dali na bahon ki phul-mala bhi

na dil mein lauh-e-jabin se kiya ujala bhi

wo man kabhi jo mujhe baddhiyan pahna na saki

kabhi mujhe nae kapDon se jo saja na saki

wo man na jis se laDakpan ke jhuT bol saka

na jis ke dil ke daran kunjiyon se khol saka

wo man main paise bhi jis ke kabhi chura na saka

saza se bachne ko jhuTi qasam bhi kha na saka

wo man ki aayat-e-rahmat hai jis ki chin-e-jabin

wo man ki han se bhi hoti hai baDh ke jis ki nahin

dam-e-itab jo banti farishta rahmat ka

jo rag chheDti jhunjhla ke bhi mohabbat ka

wo man ki ghuDkiyan bhi jis ke git ban jaen

wo man ki jhiDkiyan bhi jis ki phul barsaen

wo man hum us se jo dam bhar ko dushmani kar len

to ye na kah sake ab aao dosti kar len

kabhi jo sun na saki meri totli baaten

jo de saki na kabhi thappaDon ki saughaten

wo man bahut se khilaune jo mujh ko de na saki

KHiraj-e-sar-KHushi-e-sarmadi jo le na saki

wo man main jis se laDai kabhi na Than saka

wo man main jis pe kabhi muTThiyan na tan saka

wo meri man main kabhi jis ki piTh par na chaDha

wo meri man kabhi kuchh jis ke kan mein na rakha

wo man kabhi jo mujhe kardhani pinha na saki

jo tal hath se de kar mujhe nacha na saki

jo mere hath se ek din dawa bhi pi na saki

ki mujh ko zindagi dene mein jaan hi de di

wo man na dekh saka zindagi mein jis ki chah

usi ki bhaTakti hui ruh ko dikhata rah

ye soch soch ke aankhen meri bhar aati thin

to ja ke sune bichhaune pe leT rahta tha

kisi se ghar mein na raaz apne dil ke kahta tha

yatim thi meri duniya, yatim meri hayat

yatim sham-o-sahar thi, yatim the shab-o-roz

yatim meri paDhai thi mere khel yatim

yatim meri masarrat thi mera gham bhi yatim

yatim aansuon se takiya bhig jata tha

kisi se ghar mein na kahta tha apne dil ka bhed

har ek se dur akela udas rahta tha

kisi shamail-e-nadida ko main takta tha

main ek wahshat-e-be-nam se haDakta tha

guzar rahe the mah-o-sal aur mausam par

isi tarah kai barsaten aain aur gain

main rafta rafta pahunchne laga ba-sinn-e-shuur

to jugnuon ki haqiqat samajh mein aane lagi

ab un khilaiyon aur daiyon ki baaton par

mera yaqin na raha mujh pe ho gaya zahir

ki bhaTki ruhon ko jugnu nahin dikhate charagh

wo man-ghaDat si kahani thi ek fasana tha

wo be-paDhi likhi kuchh auraton ki thi bakwas

bhaTakti ruhon ko jugnu nahin dikhate charagh

ye khul gaya mere bahlane ko thin ye baaten

mera yaqin na raha in fuzul qisson par

hamare shahar mein aati hain ab bhi barsaten

hamare shahar par ab bhi ghaTaen chhati hain

hanuz bhigi hui surmai fazaon mein

KHutut-e-nur banati hain jugnuon ki safen

faza-e-tira mein uDti hui ye qindilen

magar main jaan chuka hun ise baDa ho kar

kisi ki ruh ko jugnu nahin dikhate rah

kaha gaya tha jo bachpan mein mujh se jhuT tha sab

magar kabhi kabhi hasrat se dil mein kahta hun

ye jaante hue jugnu nahin dikhate charagh

kisi ki bhaTakti hui ruh ko magar phir bhi

wo jhuT hi sahi kitna hasin jhuT tha wo

jo mujh se chhin liya umr ke taqaze ne

main kya bataun wo kitni hasin duniya thi

jo baDhti umr ke hathon ne chhin li mujh se

samajh sake koi ai kash ahd-e-tifli ko

jahan dekhna miTTi ke ek reze ko

numud-e-lala-e-KHud-rau mein dekhna jannat

kare nazara-e-kaunain ek gharaunde mein

uTha ke rakh le KHudai ko jo hatheli par

kare dawam ko jo qaid ek lamhe mein

suna? wo qadir-e-mutlaq hai ek nannhi si jaan

KHuda bhi sajde mein jhuk jae samne us ke

ye aql-o-fahm baDi chiz hain mujhe taslim

magar laga nahin sakte hum is ka andaza

ki aadmi ko ye paDti hain kis qadar mahngi

ek ek kar ke wo tifli ke har KHayal ki maut

bulugh-e-sin mein wo sadme nae KHayalon ke

nae KHayal ka dhachka nae KHayal ki Tis

nae tasawwuron ka karb, al-aman ki hayat

tamam zaKHm nihan hai tamam nashtar hai

ye choT kha ke sambhalna muhaal hota hai

sukut raat ka jis waqt chheDta hai sitar

kabhi kabhi teri pael ki aati hai jhankar

to meri aaankhon se moti barasne lagte hain

andheri raat ke parchhawen Dasne lagte hain

main jugnu ban ke to tujh tak pahunch nahin sakta

jo tujh se ho sake ai man tu wo tariqa bata

tu jis ko pa le wo kaghaz uchhaal dun kaise

ye nazm main tere qadmon mein Dal dun kaise

nawa-e-dard se kuchh ji to ho gaya halka

magar jab aati hai barsat kya karun is ko

jab aasman mein uDte hain har taraf jugnu

sharab-e-nur liye sabz aabginon mein

kanwal jalate hue zulmaton ke sinon mein

jab un ki tabish-e-be-saKHta se pipal ka

daraKHt sarw-e-charaghan ko mat karta hai

na jaane kis liye aankhen meri bhar aati hain

Source :
  • Book : Gul-e-Naghma (Pg. 119)
  • Author : Firaq Gorakhpuri
  • Publication : Kitabi Duniya, Delhi-6 (2006)
  • Edition : 2006

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now