Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Daku

kal raat mirā beTā mire ghar

chehre pe munḌhe ḳhākī kapḌā

bandūq uThā.e aa pahuñchā

nau-umrī surḳhī se rachī us āñkheñ

maiñ jaan ga.ī

aur bachpan ke sandal se mañDhā us chehra

pahchān ga.ī

vo aayā thā ḳhud apne ghar

ghar chīzeñ le jaane ko

an-kahī kahī manvāne ko

bātoñ meñ duudh ḳhushbū thī

jo kuchh bhī saiñt ke rakkhā thā

maiñ saarī chīzeñ le aa.ī

ik la.al-e-badaḳhshāñ chiḌiyā

sone haath chhoTā

chāñdī ik nannhī taḳhtī

resham phuul bharī Topī

atlas naam likhā juzdān

juzdān meñ lipTā ik qur.āñ

par vo kaisā dīvāna thā

kuchh chhoḌ gayā kuchh toḌ gayā

aur le bhī gayā hai vo to kyā

lohe bad-sūrat gaaḌī

petrol bhī aa.egī

jis ke pahiye bhī rabar ke haiñ

jo baat nahīñ kar pā.egī

bachcha phir āḳhir bachcha hai

kal raat mera beTa mere ghar

chehre pe munDhe KHaki kapDa

banduq uThae aa pahuncha

nau-umri ki surKHi se rachi us ki aankhen

main jaan gai

aur bachpan ke sandal se manDha us ka chehra

pahchan gai

wo aaya tha KHud apne ghar

ghar ki chizen le jaane ko

an-kahi kahi manwane ko

baaton mein dudh ki KHushbu thi

jo kuchh bhi saint ke rakkha tha

main sari chizen le aai

ek lal-e-badaKHshan ki chiDiya

sone ka hath chhoTa sa

chandi ki ek nannhi taKHti

resham ki phul bhari Topi

atlas ka nam likha juzdan

juzdan mein lipTa ek quran

par wo kaisa diwana tha

kuchh chhoD gaya kuchh toD gaya

aur le bhi gaya hai wo to kya

lohe ki bad-surat gaDi

petrol ki bu bhi aaegi

jis ke pahiye bhi rabar ke hain

jo baat nahin kar paegi

bachcha phir aaKHir bachcha hai

RECITATIONS

Zehra Nigaah

Zehra Nigaah,

00:00/00:00
Zehra Nigaah

Daku Zehra Nigaah

Source :
  • Book : Shaam Kaa Phahlaa Taaraa (Pg. 101)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now