Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ammi ki yaad mein

Rashid Jamaal Farooqi

ammi ki yaad mein

Rashid Jamaal Farooqi

ammī ye jā-e-namāz mujhe de do

mujhe pata hai

is meñ kitnī raushan sub.heñ jazb huī haiñ

kitnī sannāTī do-pahreñ

is sīvan meñ zinda haiñ

maġhrib ke jhaT-paT anvār shāhid hai ye

āḳhir shab girya

us ke tāne-bāne hissa hai

mujhe pata hai

ammī ke pākīza sajdoñ sargoshī

us ke kānoñ meñ zinda hai

us ke sachche sachche sajde

dekho kaise chamak rahe haiñ

un ke lams ḳhushbū

kaisī phuuT rahī hai

ammī ye jā-e-namāz baḌī daulat hai

ammī ye jā-e-namāz mujhe de do

ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do

mujhe pata hai

is mein kitni raushan subhen jazb hui hain

kitni sannaTi do-pahren

is ki siwan mein zinda hain

maghrib ke jhaT-paT anwar ki shahid hai ye

aaKHir shab ka girya

us ke tane-bane ka hissa hai

mujhe pata hai

ammi ke pakiza sajdon ki sargoshi

us ke kanon mein zinda hai

us ke sachche sachche sajde

dekho kaise chamak rahe hain

un ke lams ki KHushbu

kaisi phuT rahi hai

ammi ki ye ja-e-namaz baDi daulat hai

ammi ki ye ja-e-namaz mujhe de do

RECITATIONS

Rashid Jamaal Farooqi

Rashid Jamaal Farooqi,

00:00/00:00
Rashid Jamaal Farooqi

ammi ki yaad mein Rashid Jamaal Farooqi

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now