Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jashn-e-ghaalib

Sahir Ludhianvi

jashn-e-ghaalib

Sahir Ludhianvi

Interesting Fact

Sahir Ludhianvi composed this poem on Ghalib’s centenary celebrations. Sahir laments the way Urdu was treated by Indian nation-state as it became alien overnight.

ikkīs baras guzre āzādi-e-kāmil ko

tab ke kahīñ ham ko 'ġhālib' ḳhayāl aayā

turbat hai kahāñ us maskan thā kahāñ us

ab apne suḳhan-parvar zehnoñ meñ savāl aayā

sau saal se jo turbat chādar ko tarastī thī

ab us pe aqīdat ke phūloñ numā.ish hai

urdu ke ta.alluq se kuchh bhed nahīñ khultā

ye jashn ye hañgāma ḳhidmat hai ki sāzish hai

jin shahroñ meñ gūñjī thī ġhālib navā barsoñ

un shahroñ meñ ab urdu benām-o-nishāñ Thahrī

āzādi-e-kāmil elaan huā jis din

ma.atūb zabāñ Thahrī ġhaddār zabāñ Thahrī

jis ahd-e-siyāsat ne ye zinda zabāñ kuchlī

us ahd-e-siyāsat ko marhūm ġham kyuuñ hai

'ġhālib' jise kahte haiñ urdu shā.ir thā

urdu pe sitam Dhā kar 'ġhālib' pe karam kyuuñ hai

ye jashn ye hañgāme dilchasp khilaune haiñ

kuchh logoñ koshish hai kuchh log bahal jaa.eñ

jo vāda-e-fardā par ab Tal nahīñ sakte haiñ

mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaa.eñ

ye jashn mubārak ho par ye bhī sadāqat hai

ham log haqīqat ke ehsās se aarī haiñ

'gāñdhī' ho ki 'ġhālib' ho insāf nazroñ meñ

ham donoñ ke qātil haiñ donoñ ke pujārī haiñ

ikkis baras guzre aazadi-e-kaamil ko

tab ja ke kahin hum ko 'ghaalib' ka KHayal aaya

turbat hai kahan us ki maskan tha kahan us ka

ab apne suKHan-parwar zehnon mein sawal aaya

sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi

ab us pe aqidat ke phulon ki numaish hai

urdu ke talluq se kuchh bhed nahin khulta

ye jashn ye hangama KHidmat hai ki sazish hai

jin shahron mein gunji thi ghaalib ki nawa barson

un shahron mein ab urdu benam-o-nishan Thahri

aazadi-e-kaamil ka elan hua jis din

matub zaban Thahri ghaddar zaban Thahri

jis ahd-e-siyasat ne ye zinda zaban kuchli

us ahd-e-siyasat ko marhum ka gham kyun hai

'ghaalib' jise kahte hain urdu hi ka shair tha

urdu pe sitam Dha kar 'ghaalib' pe karam kyun hai

ye jashn ye hangame dilchasp khilaune hain

kuchh logon ki koshish hai kuchh log bahal jaen

jo wada-e-farda par ab Tal nahin sakte hain

mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaen

ye jashn mubarak ho par ye bhi sadaqat hai

hum log haqiqat ke ehsas se aari hain

'gandhi' ho ki 'ghaalib' ho insaf ki nazron mein

hum donon ke qatil hain donon ke pujari hain

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

Jashn e ghalib - Sahir Ludhianvi Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now