Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghaalib

Gulzar

ghaalib

Gulzar

Interesting Fact

A poem on one of Urdu's greatest poets, Mirza Ghalib.

ballī-mārāñ ke mohalle vo pechīda dalīloñ galiyāñ

sāmne Taal nukkaḌ pe baTeroñ ke qasīde

guḌguḌātī huī paan pīkoñ meñ vo daad vo vaah

chand darvāzoñ pe laTke hue bosīda se kuchh TaaT ke parde

ek bakrī ke mimyāne āvāz

aur dhundlā.ī huī shaam ke be-nūr añdhere saa.e

aise dīvāroñ se muñh joḌ ke chalte haiñ yahāñ

chūḌī-vālān kai kaTre baḌī-bī jaise

apnī bujhtī huī āñkhoñ se darvāze TaTole

isī be-nūr añdherī galī-qāsim se

ek tartīb charāġhoñ shurūa hotī hai

ek qur.ān-e-suḳhan saf.ha khultā hai

asadullāh-ḳhāñ-'ġhālib' patā miltā hai

balli-maran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan

samne Tal ki nukkaD pe baTeron ke qaside

guDguDati hui pan ki pikon mein wo dad wo wah wa

chand darwazon pe laTke hue bosida se kuchh TaT ke parde

ek bakri ke mimyane ki aawaz

aur dhundlai hui sham ke be-nur andhere sae

aise diwaron se munh joD ke chalte hain yahan

chuDi-walan kai kaTre ki baDi-bi jaise

apni bujhti hui aankhon se darwaze TaTole

isi be-nur andheri si gali-qasim se

ek tartib charaghon ki shurua hoti hai

ek quran-e-suKHan ka safha khulta hai

asadullah-KHan-'ghaalib' ka pata milta hai

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Gulzar

Gulzar

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now