depression
koī hādsa
koī sāneha
koī bahut hī burī ḳhabar
abhī kahīñ se ā.egī!
aisī jān-levā fikroñ meñ
saarā din Duubā rahtā huuñ
raat ko sone se pahle
apne-āp se kahtā huuñ
bhaa.ī mire
din ḳhair se guzrā
ghar meñ sab ārām se haiñ
kal kī fikreñ
kal ke liye uThā rakkho
mumkin ho to
apne-āp ko
maut kī niiñd sulā rakkho!!
koi hadsa
koi saneha
koi bahut hi buri KHabar
abhi kahin se aaegi!
aisi jaan-lewa fikron mein
sara din Duba rahta hun
raat ko sone se pahle
apne-ap se kahta hun
bhai mere
din KHair se guzra
ghar mein sab aaram se hain
kal ki fikren
kal ke liye uTha rakkho
mumkin ho to
apne-ap ko
maut ki nind sula rakkho!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.