depression
ḳhauf ke jazīre meñ.. qaid huuñ maiñ barsoñ se
duur tak fasīleñ haiñ
aur un pe lohe kī ūñchī ūñchī bāḌeñ haiñ,
nok-dār kīleñ haiñ
Dāltā kamandeñ huuñ... jail ke kināroñ par...
ḳhār-dār tāroñ par
sīTiyāñ sī bajtī haiñ der tak samā.at meñ
pahre-dār aate haiñ
beḌiyāñ sī sajtī haiñ
paañv ko uThānā, bhī haath ko hilānā bhī
jism bhuul jaatā hai
jurm bhī nahīñ ma.alūm, umr bhī nahīñ ma.alūm
kuchh patā nahīñ mujh ko... us taraf fasīloñ ke
kis qadar samundar hai
kashtiyāñ bhī chaltī haiñ, bādbāñ bhī khulte haiñ
nuur ke jahāñ bhī haiñ, jism ke makāñ bhī haiñ,
aadmī vahāñ bhī haiñ
chhoḌiye, nahīñ jaate
kyā kareñge bāhar bhii...
Thiik hai fasīloñ meñ
āñsuoñ kī jhīloñ meñ chāñd ko utāreñge
be-hisī ke Tīloñ par naqsh-e-pā ubhāreñge
maut ke glamour meñ Duub Duub jā.eñge
qabr ke añdhere se raat ko sajā.eñge
maut kā fasurda-pan kitnā ḳhūbsūrat hai
ik jahāñ udāsī kā bas mirī zarūrat hai!
KHauf ke jazire mein qaid hun main barson se
dur tak fasilen hain
aur un pe lohe ki unchi unchi baDen hain,
nok-dar kilen hain
Dalta kamanden hun jail ke kinaron par
KHar-dar taron par
siTiyan si bajti hain der tak samaat mein
pahre-dar aate hain
beDiyan si sajti hain
panw ko uThana, bhi hath ko hilana bhi
jism bhul jata hai
jurm bhi nahin malum, umr bhi nahin malum
kuchh pata nahin mujh ko us taraf fasilon ke
kis qadar samundar hai
kashtiyan bhi chalti hain, baadban bhi khulte hain
nur ke jahan bhi hain, jism ke makan bhi hain,
aadmi wahan bhi hain
chhoDiye, nahin jate
kya karenge bahar bhi
Thik hai fasilon mein
aansuon ki jhilon mein chand ko utarenge
be-hisi ke Tilon par naqsh-e-pa ubhaarenge
maut ke glamour mein Dub Dub jaenge
qabr ke andhere se raat ko sajaenge
maut ka fasurda-pan kitna KHubsurat hai
ek jahan udasi ka bas meri zarurat hai!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 364)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.