saza
har baar mere sāmne aatī rahī ho tum
har baar tum se mil ke bichhaḌtā rahā huuñ maiñ
tum kaun ho ye ḳhud bhī nahīñ jāntī ho tum
maiñ kaun huuñ ye ḳhud bhī nahīñ jāntā huuñ maiñ
tum mujh ko jaan kar hī paḌī ho azaab meñ
aur is tarah ḳhud apnī sazā ban gayā huuñ maiñ
tum jis zamīn par ho maiñ us kā ḳhudā nahīñ
pas sar-ba-sar aziyyat o āzār hī raho
bezār ho ga.ī ho bahut zindagī se tum
jab bas meñ kuchh nahīñ hai to bezār hī raho
tum ko yahāñ ke saaya o partav se kyā ġharaz
tum apne haq meñ biich kī dīvār hī raho
maiñ ibtidā-e-ishq se be-mehr hī rahā
tum intihā-e-ishq kā me.aar hī raho
tum ḳhuun thūktī ho ye sun kar ḳhushī huī
is rañg is adā meñ bhī purkār hī raho
maiñ ne ye kab kahā thā mohabbat meñ hai najāt
maiñ ne ye kab kahā thā vafādār hī raho
apnī matā-e-nāz luTā kar mire liye
bāzār-e-iltifāt meñ nādār hī raho
jab maiñ tumheñ nashāt-e-mohabbat na de sakā
ġham meñ kabhī sukūn-e-rifāqat na de sakā
jab mere sab charāġh-e-tamannā havā ke haiñ
jab mere saare ḳhvāb kisī bevafā ke haiñ
phir mujh ko chāhne kā tumheñ koī haq nahīñ
tanhā karāhne kā tumheñ koī haq nahīñ
har bar mere samne aati rahi ho tum
har bar tum se mil ke bichhaDta raha hun main
tum kaun ho ye KHud bhi nahin jaanti ho tum
main kaun hun ye KHud bhi nahin jaanta hun main
tum mujh ko jaan kar hi paDi ho azab mein
aur is tarah KHud apni saza ban gaya hun main
tum jis zamin par ho main us ka KHuda nahin
pas sar-ba-sar aziyyat o aazar hi raho
bezar ho gai ho bahut zindagi se tum
jab bas mein kuchh nahin hai to bezar hi raho
tum ko yahan ke saya o partaw se kya gharaz
tum apne haq mein bich ki diwar hi raho
main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha
tum intiha-e-ishq ka mear hi raho
tum KHun thukti ho ye sun kar KHushi hui
is rang is ada mein bhi purkar hi raho
main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najat
main ne ye kab kaha tha wafadar hi raho
apni mata-e-naz luTa kar mere liye
bazar-e-iltifat mein nadar hi raho
jab main tumhein nashat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukun-e-rifaqat na de saka
jab mere sab charagh-e-tamanna hawa ke hain
jab mere sare KHwab kisi bewafa ke hain
phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahin
tanha karahne ka tumhein koi haq nahin
- Book : shayad (Pg. 70)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.