safar ke waqt
tumhārī yaad mire dil kā daaġh hai lekin
safar ke vaqt to be-tarah yaad aatī ho
baras baras kī ho aadat kā jab hisāb to phir
bahut satātī ho jānam bahut satātī ho
maiñ bhuul jā.ūñ magar kaise bhuul jā.ūñ bhalā
azāb-e-jāñ kī haqīqat kā apnī afsāna
mire safar ke vo lamhe tumhārī pur-hālī
vo baat baat mujhe baar baar samjhānā
ye pāñch kurte haiñ dekho ye pāñch pājāme
Dale hue haiñ qamar-bañd in meñ aur dekho
ye shave-box hai aur ye hai old spice
nahīñ huzūr kī jhoñjal kā ab koī baa.is
ye Diary hai aur is meñ pate haiñ aur number
ise ḳhayāl se bakse kī jeb meñ rakhnā
hai arz ''hazrat-e-ġhā.eb-dimāġh'' bandī kī
ki apne aib kī hālat ko ġhaib meñ rakhnā
ye tiin coat haiñ patlūn haiñ ye Tā.iyāñ haiñ
bañdhī huī haiñ ye sab tum ko kuchh nahīñ karnā
ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTī-nāl'
tum in ke saath mirī jaañ drink se Darnā
bahut ziyāda na piinā ki kuchh na yaad aa.e
jo lucknow meñ huā thā vo ab dobāra na ho
ho tum suḳhan kī anā aur tamkanat jānam
mazāq kā kisī 'inshā' ko tum se yaarā na ho
vo 'jaun' jo nazar aatā hai us kā zikr nahīñ
tum apne 'jaun' kā jo tum meñ hai bharam rakhnā
ajiib baat hai jo tum se kah rahī huuñ maiñ
ḳhayāl merā ziyāda aur apnā kam rakhnā
ho tum balā ke baġhāvat-pasand talḳh-kalām
ḳhud apne haq meñ ik āzār ho ga.e ho tum
tumhāre saare sahāba ne tum ko chhoḌ diyā
mujhe qalaq hai ki be-yār ho ga.e ho tum
ye bank-kār manager ye apne technocrat
koī bhī shub.h nahīñ haiñ ye ek abas kā ThiThol
maiñ ḳhud bhī in ko cro-magnon samajhtī huuñ
ye shāndār janāvar haiñ daftaroñ kā maḳhaul
maiñ jāntī huuñ ki tum sun nahīñ rahe mirī baat
samāj jhuuT sahī phir bhī us kā paas karo
hai tum ko taish hai bālishtiyoñ kī ye duniyā
to phir qarīne se tum un ko be-libās karo
tum ek saada o barjasta aadmī Thahre
mizāj-e-vaqt ko tum aaj tak nahīñ samjhe
jo chiiz sab se zarūrī hai vo maiñ bhuul ga.ī
ye passport hai is ko sambhāl ke rakhnā
jo ye na ho to ḳhudā bhī bashar tak aa na sake
so tum shu.ūr kā apne kamāl kar rakhnā
mirī shikast ke zaḳhmoñ kī sozish-e-jāved
nahīñ rahā mire zaḳhmoñ kā ab hisāb koī
hai ab jo haal mirā vo ajab tamāshā hai
mirā azaab nahīñ ab mirā azaab koī
nahīñ koī mirī manzil pe hai safar darpesh
hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh
tumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin
safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho
baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir
bahut satati ho jaanam bahut satati ho
main bhul jaun magar kaise bhul jaun bhala
azab-e-jaan ki haqiqat ka apni afsana
mere safar ke wo lamhe tumhaari pur-haali
wo baat baat mujhe bar bar samjhana
ye panch kurte hain dekho ye panch pajame
Dale hue hain qamar-band in mein aur dekho
ye shawe-box hai aur ye hai old spice
nahin huzur ki jhonjal ka ab koi bais
ye Diary hai aur is mein pate hain aur number
ise KHayal se bakse ki jeb mein rakhna
hai arz hazrat-e-ghaeb-dimagh bandi ki
ki apne aib ki haalat ko ghaib mein rakhna
ye tin coat hain patlun hain ye Taiyan hain
bandhi hui hain ye sab tum ko kuchh nahin karna
ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTi-nal'
tum in ke sath meri jaan drink se Darna
bahut ziyaada na pina ki kuchh na yaad aae
jo lucknow mein hua tha wo ab dobara na ho
ho tum suKHan ki ana aur tamkanat jaanam
mazaq ka kisi 'insha' ko tum se yara na ho
wo 'jaun' jo nazar aata hai us ka zikr nahin
tum apne 'jaun' ka jo tum mein hai bharam rakhna
ajib baat hai jo tum se kah rahi hun main
KHayal mera ziyaada aur apna kam rakhna
ho tum bala ke baghawat-pasand talKH-kalam
KHud apne haq mein ek aazar ho gae ho tum
tumhaare sare sahaba ne tum ko chhoD diya
mujhe qalaq hai ki be-yar ho gae ho tum
ye bank-kar manager ye apne technocrat
koi bhi shubh nahin hain ye ek abas ka ThiThol
main KHud bhi in ko cro-magnon samajhti hun
ye shandar janawar hain daftaron ka maKHaul
main jaanti hun ki tum sun nahin rahe meri baat
samaj jhuT sahi phir bhi us ka pas karo
hai tum ko taish hai baalishtiyon ki ye duniya
to phir qarine se tum un ko be-libas karo
tum ek sada o barjasta aadmi Thahre
mizaj-e-waqt ko tum aaj tak nahin samjhe
jo chiz sab se zaruri hai wo main bhul gai
ye passport hai is ko sambhaal ke rakhna
jo ye na ho to KHuda bhi bashar tak aa na sake
so tum shuur ka apne kamal kar rakhna
meri shikast ke zaKHmon ki sozish-e-jawed
nahin raha mere zaKHmon ka ab hisab koi
hai ab jo haal mera wo ajab tamasha hai
mera azab nahin ab mera azab koi
nahin koi meri manzil pe hai safar darpesh
hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh
- Book : yani (Pg. 168)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.