Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-azadi (August-47)

Translation Available By: Mahmood Jamal

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

subh-e-azadi (August-47)

Faiz Ahmad Faiz

Interesting Fact

August 1947

ye daaġh daaġh ujālā ye shab-gazīda sahar

vo intizār thā jis ye vo sahar to nahīñ

ye vo sahar to nahīñ jis aarzū le kar

chale the yaar ki mil jā.egī kahīñ na kahīñ

falak ke dasht meñ tāroñ āḳhirī manzil

kahīñ to hogā shab-e-sust-mauj sāhil

kahīñ to ke rukegā safīna-e-ġham dil

javāñ lahū pur-asrār shāh-rāhoñ se

chale jo yaar to dāman pe kitne haath paḌe

dayār-e-husn be-sabr ḳhvāb-gāhoñ se

pukārtī rahīñ bāheñ badan bulāte rahe

bahut aziiz thī lekin ruḳh-e-sahar lagan

bahut qarīñ thā hasīnan-e-nūr dāman

subuk subuk thī tamannā dabī dabī thī thakan

Freedom’s Dawn

sunā hai ho bhī chukā hai firāq-e-zulmat-o-nūr

sunā hai ho bhī chukā hai visāl-e-manzil-o-gām

badal chukā hai bahut ahl-e-dard dastūr

nashāt-e-vasl halāl o azāb-e-hijr harām

jigar aag nazar umañg dil jalan

kisī pe chāra-e-hijrāñ kuchh asar nahīñ

kahāñ se aa.ī nigār-e-sabā kidhar ko ga.ī

abhī charāġh-e-sar-e-rah ko kuchh ḳhabar nahīñ

abhī girānī-e-shab meñ kamī nahīñ aa.ī

najāt-e-dīda-o-dil ghaḌī nahīñ aa.ī

chale-chalo ki vo manzil abhī nahīñ aa.ī

This dawn that's marked and wounded,

this dawn that night has nibbled on-

It's not the dawn we expected;

it's not the dawn we were looking for.

Hoping we would find it somewhere,

friends, comrades set out thinking

somewhere in the desert of the sky

the stars would halt

somewhere the night's slow waves

would find a shore

somewhere the ship of our heartaches

come to rest.

ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar

wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin

ye wo sahar to nahin jis ki aarzu le kar

chale the yar ki mil jaegi kahin na kahin

falak ke dasht mein taron ki aaKHiri manzil

kahin to hoga shab-e-sust-mauj ka sahil

kahin to ja ke rukega safina-e-gham dil

jawan lahu ki pur-asrar shah-rahon se

chale jo yar to daman pe kitne hath paDe

dayar-e-husn ki be-sabr KHwab-gahon se

pukarti rahin bahen badan bulate rahe

bahut aziz thi lekin ruKH-e-sahar ki lagan

bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman

subuk subuk thi tamanna dabi dabi thi thakan

Freedom’s Dawn

suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-nur

suna hai ho bhi chuka hai visal-e-manzil-o-gam

badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur

nashat-e-wasl halal o azab-e-hijr haram

jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan

kisi pe chaara-e-hijran ka kuchh asar hi nahin

kahan se aai nigar-e-saba kidhar ko gai

abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuchh KHabar hi nahin

abhi girani-e-shab mein kami nahin aai

najat-e-dida-o-dil ki ghaDi nahin aai

chale-chalo ki wo manzil abhi nahin aai

This dawn that's marked and wounded,

this dawn that night has nibbled on-

It's not the dawn we expected;

it's not the dawn we were looking for.

Hoping we would find it somewhere,

friends, comrades set out thinking

somewhere in the desert of the sky

the stars would halt

somewhere the night's slow waves

would find a shore

somewhere the ship of our heartaches

come to rest.

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Zia Mohyeddin

Zia Mohyeddin

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz

RECITATIONS

Shamsur Rahman Faruqi

Shamsur Rahman Faruqi,

Faiz Ahmad Faiz

Faiz Ahmad Faiz,

00:00/00:00
Shamsur Rahman Faruqi

subh-e-azadi (August-47) Shamsur Rahman Faruqi

Faiz Ahmad Faiz

subh-e-azadi (August-47) Faiz Ahmad Faiz

Source :
  • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 116)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now