Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gandhi-jayanti par

kanval Dibaivi

gandhi-jayanti par

kanval Dibaivi

MORE BYkanval Dibaivi

    uThī chāroñ taraf se jab ki zulm-o-jabr āñdhī

    payām-e-amn le kar aa ga.e rūh-e-zamāñ gāñdhī

    bane hindostāñ ke vāste vo rahbar-e-kāmil

    tavassul se unhī ke paa.ī ham ne apnī ḳhud manzil

    huī raushan ujāle se dayār-e-hind vaadī

    jalā.ī is tarah aap ne ik sham-e-āzādī

    unhī ne jabr se añgrez ke ham ko chhuḌāyā thā

    sadāqat sharāfat hameñ rasta batāyā thā

    dikhā.ī raah vo ham ko jo gautam ne dikhā.ī thī

    batā.ī baat vo phir se jo iisā ne batā.ī thī

    uḳhuvvat ke vo dariyā the mohabbat ke vo sāhil the

    ahinsā ke vo daa.ī the vo yak-jehtī ke qaa.il the

    sabaq phir se paḌhāyā thā jahāñ-bhar ko bhalā.ī

    zamāna aaj bhī mashkūr hai us haq ke daa.ī

    ġharīboñ nahīfoñ hamesha dast-gīrī

    na parvā musībat na parvā asīrī

    hamāre dil munavvar kar diye nūr-e-mohabbat se

    hue āgāh ahl-e-dahr ramz-e-ādamiyat se

    vatan ke āsmāñ par ek raḳhshanda sitāre the

    hameñ ye faḳhr hai ahl-e-jahāñ gāñdhī hamāre the

    uThi chaaron taraf se jab ki zulm-o-jabr ki aandhi

    payam-e-amn le kar aa gae ruh-e-zaman gandhi

    bane hindostan ke waste wo rahbar-e-kaamil

    tawassul se unhi ke pai hum ne apni KHud manzil

    hui raushan ujale se dayar-e-hind ki wadi

    jalai is tarah ki aap ne ek sham-e-azadi

    unhi ne jabr se angrez ke hum ko chhuDaya tha

    sadaqat ka sharafat ka hamein rasta bataya tha

    dikhai rah wo hum ko jo gautam ne dikhai thi

    batai baat wo phir se jo isa ne batai thi

    uKHuwwat ke wo dariya the mohabbat ke wo sahil the

    ahinsa ke wo dai the wo yak-jehti ke qail the

    sabaq phir se paDhaya tha jahan-bhar ko bhalai ka

    zamana aaj bhi mashkur hai us haq ke dai ka

    gharibon ki nahifon ki hamesha dast-giri ki

    na parwa ki musibat ki na parwa ki asiri ki

    hamare dil munawwar kar diye nur-e-mohabbat se

    hue aagah ahl-e-dahr ramz-e-adamiyat se

    watan ke aasman par ek raKHshanda sitare the

    hamein ye faKHr hai ahl-e-jahan gandhi hamare the

    Source :
    • Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 187)
    • Author : Prof. Ibne Kanwal
    • Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
    • Edition : 2010

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now