Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insan ka sawal

Ahmad Zafar

insan ka sawal

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    mahakte hue lāla-zāroñ meñ dekho to maiñ huuñ

    chamakte hue chāñd tāroñ meñ dekho to maiñ huuñ

    idhar maiñ udhar maiñ

    safīnā safīnā bhañvar hī bhañvar meñ

    samundar kī lahroñ meñ dekho

    kināroñ meñ dekho

    to maiñ huuñ

    nahīñ maiñ nahīñ huuñ

    chaman meñ tirā 'aks hai

    har nazāre meñ tū hai

    sukūt-e-shab-e-māh tū hai

    sulagte hue har sitāre meñ tū hai

    ġhul-e-tar meñ tū hai sharāre meñ tū hai

    samundar kī har mauj meñ tū kināre meñ tū hai

    magar vo janāza jise log le jā rahe haiñ

    na tū hai na maiñ huuñ

    batā tū kahāñ hai batā maiñ kahāñ huuñ

    mahakte hue lala-zaron mein dekho to main hun

    chamakte hue chand taron mein dekho to main hun

    idhar main udhar main

    safina safina bhanwar hi bhanwar mein

    samundar ki lahron mein dekho

    kinaron mein dekho

    to main hun

    nahin main nahin hun

    chaman mein tera 'aks hai

    har nazare mein tu hai

    sukut-e-shab-e-mah tu hai

    sulagte hue har sitare mein tu hai

    ghul-e-tar mein tu hai sharare mein tu hai

    samundar ki har mauj mein tu kinare mein tu hai

    magar wo janaza jise log le ja rahe hain

    na tu hai na main hun

    bata tu kahan hai bata main kahan hun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now