aap-biti
kī ga.ī garm-ravī kī tasdīq
barf-zāroñ kī zabānī mujh se
lā-zamānī ke shabistāñ meñ bapā
huī lamhāt-fishānī mujh se
lā-makānoñ ke makīñ siikh ga.e
hunar-e-naql-e-makānī mujh se
vādī-o-koh-o-bayābān-e-vujūd
pā ga.e apne ma'ānī mujh se
sabza-zāroñ ke hazāroñ imkān
māñgte rah ga.e paanī mujh se
kyā rahā merī tag-o-dau kā ma.aal
na suno ab ye kahānī mujh se
chhā gayā mujh pe samundar kā jalāl
chhin ga.ī tāb-e-ravānī mujh se
huuñ 'muhib' misra'-e-avval apnā
na lagā misra'-e-sānī mujh se
ki gai garm-rawi ki tasdiq
barf-zaron ki zabani mujh se
la-zamani ke shabistan mein bapa
hui lamhat-fishani mujh se
la-makanon ke makin sikh gae
hunar-e-naql-e-makani mujh se
wadi-o-koh-o-bayaban-e-wujud
pa gae apne ma'ani mujh se
sabza-zaron ke hazaron imkan
mangte rah gae pani mujh se
kya raha meri tag-o-dau ka maal
na suno ab ye kahani mujh se
chha gaya mujh pe samundar ka jalal
chhin gai tab-e-rawani mujh se
hun 'muhib' misra'-e-awwal apna
na laga misra'-e-sani mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.