Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere KHushbu mein base KHat

Rajendra Nath Rahbar

tere KHushbu mein base KHat

Rajendra Nath Rahbar

pyaar āḳhirī pūñjī bhī luTā aayā huuñ

apnī hastī ko bhī lagtā hai miTā aayā huuñ

umr-bhar jo kamā.ī thī gañvā aayā huuñ

tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ

aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ

ne likhkhā thā jalā duuñ maiñ tirī tahrīreñ

ne chāhā thā jalā duuñ maiñ tirī tasvīreñ

soch liiñ maiñ ne magar aur kuchh tadbīreñ

tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ

aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ

tere ḳhushbū meñ base ḳhat maiñ jalātā kaise

pyaar meñ Duube hue ḳhat maiñ jalātā kaise

tere hāthoñ ke likhe ḳhat maiñ jalātā kaise

tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ

aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ

jin ko duniyā nigāhoñ se chhupā.e rakkhā

jin ko ik umr kaleje se lagā.e rakkhā

diin jin ko jinheñ īmān banā.e rakkhā

jin har lafz mujhe yaad hai paanī tarah

yaad the mujh ko jo paiġhām-e-zabānī tarah

mujh ko pyāre the jo anmol nishānī tarah

ne duniyā nigāhoñ se jo bach kar likkhe

sāl-hā-sāl mire naam barābar likkhe

kabhī din meñ to kabhī raat ko uTh kar likkhe

tere rūmāl tire ḳhat tire chhalle bhī ga.e

terī tasvīreñ tire shoḳh lifāfe bhī ga.e

ek yug ḳhatm huā yug ke fasāne bhī ga.e

tere ḳhat aaj maiñ gañgā meñ bahā aayā huuñ

aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ

kitnā bechain unheñ lene ko gañgā-jal thā

jo bhī dhārā thā unhīñ ke liye vo bekal thā

pyaar apnā bhī to gañgā tarah nirmal thā

tere ḳhat aaj meñ gañgā meñ bahā aayā huuñ

aag bahte hue paanī meñ lagā aayā huuñ

pyar ki aaKHiri punji bhi luTa aaya hun

apni hasti ko bhi lagta hai miTa aaya hun

umr-bhar ki jo kamai thi ganwa aaya hun

tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun

aag bahte hue pani mein laga aaya hun

tu ne likhkha tha jala dun main teri tahriren

tu ne chaha tha jala dun main teri taswiren

soch lin main ne magar aur hi kuchh tadbiren

tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun

aag bahte hue pani mein laga aaya hun

tere KHushbu mein base KHat main jalata kaise

pyar mein Dube hue KHat main jalata kaise

tere hathon ke likhe KHat main jalata kaise

tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun

aag bahte hue pani mein laga aaya hun

jin ko duniya ki nigahon se chhupae rakkha

jin ko ek umr kaleje se lagae rakkha

din jin ko jinhen iman banae rakkha

jin ka har lafz mujhe yaad hai pani ki tarah

yaad the mujh ko jo paigham-e-zabani ki tarah

mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah

tu ne duniya ki nigahon se jo bach kar likkhe

sal-ha-sal mere nam barabar likkhe

kabhi din mein to kabhi raat ko uTh kar likkhe

tere rumal tere KHat tere chhalle bhi gae

teri taswiren tere shoKH lifafe bhi gae

ek yug KHatm hua yug ke fasane bhi gae

tere KHat aaj main ganga mein baha aaya hun

aag bahte hue pani mein laga aaya hun

kitna bechain unhen lene ko ganga-jal tha

jo bhi dhaara tha unhin ke liye wo bekal tha

pyar apna bhi to ganga ki tarah nirmal tha

tere KHat aaj mein ganga mein baha aaya hun

aag bahte hue pani mein laga aaya hun

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Jagjit Singh

Jagjit Singh

RECITATIONS

Rajendra Nath Rahbar

Rajendra Nath Rahbar,

00:00/00:00
Rajendra Nath Rahbar

tere KHushbu mein base KHat Rajendra Nath Rahbar

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now