aane wala achchha zamana
tanegā masarrat kā ab shāmiyāna
bajegā mohabbat kā naqqār-ḳhāna
himāyat kā gā.eñge mil kar tarāna
karo sabr aatā hai achchhā zamāna
har ik top sach kī madad-gār hogī
ḳhayālāt kī tez talvār hogī
isī par faqat jiit aur haar hogī
karo sabr aatā hai achchhā zamāna
laḌā.ī ko insān samjheñge Dāyan
tafāḳhur pe hogī na qaumoñ meñ an-ban
mashīḳhat kī ḳhātir uḌegī na gardan
karo sabr aatā hai achchhā zamāna
kareñ sab madad ek kī ek mil kar
yahī baat vājib hai har mard-o-zan par
lage haath sab kā to uTh jaa.e chhappar
karo sabr aatā hai achchhā zamāna
tanega masarrat ka ab shamiyana
bajega mohabbat ka naqqar-KHana
himayat ka gaenge mil kar tarana
karo sabr aata hai achchha zamana
har ek top sach ki madad-gar hogi
KHayalat ki tez talwar hogi
isi par faqat jit aur haar hogi
karo sabr aata hai achchha zamana
laDai ko insan samjhenge Dayan
tafaKHur pe hogi na qaumon mein an-ban
mashiKHat ki KHatir uDegi na gardan
karo sabr aata hai achchha zamana
karen sab madad ek ki ek mil kar
yahi baat wajib hai har mard-o-zan par
lage hath sab ka to uTh jae chhappar
karo sabr aata hai achchha zamana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.