talash
december ke dālān meñ
is chamaktī huī āftābī tamāzat ko ruuh meñ utāre
kiran-dar-kiran tum kise dekhtī ho
ḳhunuk sī havāoñ kī in sarsarātī huī uñgliyoñ meñ
jo ik lams mahsūs karne lagī ho vo kyā hai
koī vāhima hai? haqīqat hai koii?
ki ik ḳhvāb hai jo sar-e-rāh aa kar milā hai
shab o roz masrūfiyat meñ ghirī ho
koī kaam bhī ho
use ek lamha nahīñ bhūltī ho!
tumheñ kyā huā hai
saḌak par ravāñ
apnī gaaḌī meñ baiThī
yahāñ aatī jaatī huī gāḌiyoñ meñ
kise dekhtī ho
kabhī sāmnā ho
to āñkhoñ meñ us kī
kise DhūñDhtī ho?
december ke dalan mein
is chamakti hui aaftabi tamazat ko ruh mein utare
kiran-dar-kiran tum kise dekhti ho
KHunuk si hawaon ki in sarsaraati hui ungliyon mein
jo ek lams mahsus karne lagi ho wo kya hai
koi wahima hai? haqiqat hai koi?
ki ek KHwab hai jo sar-e-rah aa kar mila hai
shab o roz masrufiyat mein ghiri ho
koi kaam bhi ho
use ek lamha nahin bhulti ho!
tumhein kya hua hai
saDak par rawan
apni gaDi mein baiThi
yahan aati jati hui gaDiyon mein
kise dekhti ho
kabhi samna ho
to aankhon mein us ki
kise DhunDhti ho?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.