raat hui
tum ko pā lene kī dhun meñ
duniyā oḌhī
rañg-birañge kapḌe pahne
peshānī par sūraj bāñdhā
āñgan bhar meñ dhuup bichā.ī
dīvāroñ par sabza Daalā
phūloñ pattoñ se apnī chaukhaT rañgvā.ī
mausam aa.e
mausam biite
sūraj niklā dhuup khilī
phir dhuup chaḌhī phir aur chaḌhī
phir shaam huī
phir gahrī kaalī raat huī
tum ko pa lene ki dhun mein
duniya oDhi
rang-birange kapDe pahne
peshani par suraj bandha
aangan bhar mein dhup bichai
diwaron par sabza Dala
phulon patton se apni chaukhaT rangwai
mausam aae
mausam bite
suraj nikla dhup khili
phir dhup chaDhi phir aur chaDhi
phir sham hui
phir gahri kali raat hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.