Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baaten

Ahmad Zafar

baaten

Ahmad Zafar

MORE BYAhmad Zafar

    kuchh din phuul mahakte haiñ

    kuchh din ḳhushbū rahtī hai

    kuchh din abr barastā hai

    kuchh din naddī bahtī hai

    vo din yaad nahīñ rahte

    dil par jab ik choT paḌī

    parbat patthar raakh hue

    panchhī kaliyāñ ḳhushbūeñ

    saare manzar raakh hue

    rāteñ aag meñ Dhaltī haiñ

    din bhī sulagte rahte haiñ

    aañsū dil ke sahrā meñ

    chup chup reñgte rahte haiñ

    kuchh din yuuñ bhī biit ga.e

    kitne phuul mahakte haiñ

    yādoñ ke vīrāne meñ

    kaise kaise moḌ mile

    chhoTe se afsāne meñ

    kitnī sadiyāñ Duub ga.iiñ

    vaqt ke ik paimāne meñ

    jo din yaad nahīñ rahte

    vo bhī yaad se rahte haiñ

    jaise nāTak meñ kuchh log

    rang badalte rahte haiñ

    dukh aur sukh ke sūraj chāñd

    aate jaate rahte haiñ

    kuchh din phul mahakte hain

    kuchh din KHushbu rahti hai

    kuchh din abr barasta hai

    kuchh din naddi bahti hai

    wo din yaad nahin rahte

    dil par jab ek choT paDi

    parbat patthar rakh hue

    panchhi kaliyan KHushbuen

    sare manzar rakh hue

    raaten aag mein Dhalti hain

    din bhi sulagte rahte hain

    aansu dil ke sahra mein

    chup chup rengte rahte hain

    kuchh din yun bhi bit gae

    kitne phul mahakte hain

    yaadon ke virane mein

    kaise kaise moD mile

    chhoTe se afsane mein

    kitni sadiyan Dub gain

    waqt ke ek paimane mein

    jo din yaad nahin rahte

    wo bhi yaad se rahte hain

    jaise naTak mein kuchh log

    rang badalte rahte hain

    dukh aur sukh ke suraj chand

    aate jate rahte hain

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Click on any word to get its meaning
    Speak Now