Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taj-mahal

Kaifi Azmi

taj-mahal

Kaifi Azmi

dost! maiñ dekh chukā tāj-mahal

.....vāpas chal

marmarīñ marmarīñ phūloñ se ubaltā hiirā

chāñd aañch meñ dahke hue sīmīñ mīnār

zehn-e-shā.er se ye kartā huā chashmak paiham

ek malika ziyā-posh o fazā-tāb mazār

ḳhud ba-ḳhud phir ga.e nazroñ meñ ba-andāz-e-savāl

vo jo rastoñ pe paḌe rahte haiñ lāshoñ tarah

ḳhushk ho kar jo simaT jaate haiñ be-ras a.asāb

dhuup meñ khopḌiyāñ bajtī haiñ tāshoñ tarah

dost maiñ dekh chukā tāj-mahal

.....vāpas chal

ye dhaḌaktā huā gumbad meñ dil-e-shāhjahāñ

ye dar-o-bām pe hañstā huā malika shabāb

jagmagātā hai har ik tah se mazāq-e-tafrīq

aur tārīḳh uḌhātī hai mohabbat naqāb

chāñdnī aur ye mahal ālam-e-hairat qasam

duudh nahr meñ jis tarah ubaal aa jaa.e

aise sayyāh nazroñ meñ khupe kyā ye samāñ

jis ko farhād qismat ḳhayāl aa jaa.e

dost maiñ dekh chukā tāj-mahal

.....vāpas chal

ye damaktī huī chaukhaT ye tilā-posh kalas

inhīñ jalvoñ ne diyā qabr-parastī ko rivāj

maah o anjum bhī hue jaate haiñ majbūr-e-sujūd

vaah ārām-gah-e-malika-e-ma.abūd-mizāj

dīdanī qasr nahīñ dīdanī taqsīm hai ye

rū-e-hastī pe dhuāñ qabr pe raqs-e-anvār

phail jaa.e isī rauza jo simTā dāman

kitne jāñ-dār janāzoñ ko bhī mil jaa.e mazār

dost maiñ dekh chukā tāj-mahal

.....vāpas chal

dost! main dekh chuka taj-mahal

wapas chal

marmarin marmarin phulon se ubalta hira

chand ki aanch mein dahke hue simin minar

zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham

ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar

KHud ba-KHud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal

wo jo raston pe paDe rahte hain lashon ki tarah

KHushk ho kar jo simaT jate hain be-ras aasab

dhup mein khopDiyan bajti hain tashon ki tarah

dost main dekh chuka taj-mahal

wapas chal

ye dhaDakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan

ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab

jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq

aur tariKH uDhati hai mohabbat ki naqab

chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam

dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae

aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman

jis ko farhad ki qismat ka KHayal aa jae

dost main dekh chuka taj-mahal

wapas chal

ye damakti hui chaukhaT ye tila-posh kalas

inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj

mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud

wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj

didani qasr nahin didani taqsim hai ye

ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar

phail jae isi rauza ka jo simTa daman

kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar

dost main dekh chuka taj-mahal

wapas chal

related content

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now