Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taj-mahal

Mahshar Badayuni

taj-mahal

Mahshar Badayuni

Interesting Fact

The first poem on Taj Mahal

allāh maiñ ye taaj mahal dekh rahā huuñ

pahlū-e-jamunā meñ kañval dekh rahā huuñ

ye shaam zulfoñ meñ simaTte hue anvār

firdaus-e-nazar tāj-mahal ke dar-o-dīvār

aflāk se kāhkashāñ TuuT paḌī hai

koī hasīna hai ki be-parda khaḌī hai

is ḳhaak se phūTī hai zuleḳhā javānī

chaah se niklā hai koī yūsuf-e-sānī

gul-dasta-e-rañgīñ kaf-e-sāhil pe dharā hai

billor sāġhar hai ki sahbā se bharā hai

āġhosh-e-tajallī meñ nazar soī huī hai

shaam ke zaanū pe sahar soī huī hai

bar-lab-e-jamunā koī doshīza nahā kar

baiThī hai takalluf se adāoñ ko churā kar

Thahrī huī husn ke markaz pe nazar hai

vaqt ke hāthoñ meñ garebān-e-sahar hai

koī bat-e-mast hai jo tair chukī hai

aa kar abhī dariyā ke kināre pe rukī hai

nuur Tiikā koī sāhil jabīñ par

ālam-e-bālā utar aayā hai zamīñ par

husn ke iqbāl chamkā hai sitārā

nikhrī huī chāñdī hai ki Thahrā huā paarā

hauzoñ ke ḳhazāne haiñ ki bikhre se paḌe haiñ

pahre pe nigahbān haiñ sarv khaḌe haiñ

taaj qarīne se abhī rakh ke zamīñ par

soyā hai koī bādshah-e-vaqt yahīñ par

tasvīr liye letā hai har hauz paanī

goyā ki javānī ke muqābil hai javānī

qudrat ne use auj diyā ḳhaak pe ke

ye saada motī thā ḳhazāne meñ ḳhudā ke

hai taḳht to maujūd sulaimāñ kamī hai

jannat darīcha to hai rizvāñ kamī hai

ye gul-kada kahiye jise firdaus ḳhāka

hai dafn yahīñ ḳhaak meñ sarmāya vafā

goshe meñ isī qasr ke do dil haiñ ham-āġhosh

sho.ale haiñ magar maslahat-e-vaqt se ḳhāmosh

is ḳhvāb meñ un ko nahīñ ḳhud apnī ḳhabar tak

ik nuur uḌā jaatā hai parvāz-e-nazar tak

nazroñ meñ abhī tak vahī dilchasp samāñ hai

āñkhoñ meñ mirī ḳhvāb-gah-e-shāhjāñ hai

allah main ye taj mahal dekh raha hun

ya pahlu-e-jamuna mein kanwal dekh raha hun

ye sham ki zulfon mein simaTte hue anwar

firdaus-e-nazar taj-mahal ke dar-o-diwar

aflak se ya kahkashan TuT paDi hai

ya koi hasina hai ki be-parda khaDi hai

is KHak se phuTi hai zuleKHa ki jawani

ya chah se nikla hai koi yusuf-e-sani

gul-dasta-e-rangin kaf-e-sahil pe dhara hai

billor ka saghar hai ki sahba se bhara hai

aaghosh-e-tajalli mein nazar soi hui hai

ya sham ke zanu pe sahar soi hui hai

ya bar-lab-e-jamuna koi doshiza naha kar

baiThi hai takalluf se adaon ko chura kar

Thahri hui ya husn ke markaz pe nazar hai

ya waqt ke hathon mein gareban-e-sahar hai

ya koi bat-e-mast hai jo tair chuki hai

aa kar abhi dariya ke kinare pe ruki hai

ya nur ka Tika koi sahil ki jabin par

ya aalam-e-baala utar aaya hai zamin par

ya husn ke iqbaal ka chamka hai sitara

nikhri hui chandi hai ki Thahra hua para

hauzon ke KHazane hain ki bikhre se paDe hain

pahre pe nigahban hain ya sarw khaDe hain

ya taj qarine se abhi rakh ke zamin par

soya hai koi baadshah-e-waqt yahin par

taswir liye leta hai har hauz ka pani

goya ki jawani ke muqabil hai jawani

qudrat ne use auj diya KHak pe la ke

ye sada sa moti tha KHazane mein KHuda ke

hai taKHt to maujud sulaiman ki kami hai

jannat ka daricha to hai rizwan ki kami hai

ye gul-kada kahiye jise firdaus ka KHaka

hai dafn yahin KHak mein sarmaya wafa ka

goshe mein isi qasr ke do dil hain ham-aghosh

shoale hain magar maslahat-e-waqt se KHamosh

is KHwab mein un ko nahin KHud apni KHabar tak

ek nur uDa jata hai parwaz-e-nazar tak

nazron mein abhi tak wahi dilchasp saman hai

aankhon mein meri KHwab-gah-e-shahjaan hai

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 927)
  • Author : Mehshar Badayuni
  • Publication : Alhamd Publication, Lahore (2012)
  • Edition : 2012

related content

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now