Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jadugar

Muneer Niyazi

jadugar

Muneer Niyazi

jab merā chāhe maiñ jaadū ke khel dikhā saktā huuñ

āñdhī ban kar chal saktā huuñ bādal ban kar chhā saktā huuñ

haath ke ek ishāre se paanī meñ aag lagā saktā huuñ

raakh ke Dher se taaza rañgoñ vaale phuul ugā saktā huuñ

itne ūñche āsamān ke taare toḌ ke saktā huuñ

merī umr to bas aaise khel dikhāte guzrī hai

apnī saañs ke sho.aloñ se gulzār khilāte guzrī hai

jhūTī sachchī bātoñ ke bāzār sajāte guzrī hai

patthar dīvāroñ ko sañgīt sunāte guzrī hai

apne dard ko duniyā nazroñ se chhupāte guzrī hai

jab mera ji chahe main jadu ke khel dikha sakta hun

aandhi ban kar chal sakta hun baadal ban kar chha sakta hun

hath ke ek ishaare se pani mein aag laga sakta hun

rakh ke Dher se taza rangon wale phul uga sakta hun

itne unche aasaman ke tare toD ke la sakta hun

meri umr to bas aaise hi khel dikhate guzri hai

apni sans ke shoalon se gulzar khilate guzri hai

jhuTi sachchi baaton ke bazar sajate guzri hai

patthar ki diwaron ko sangit sunate guzri hai

apne dard ko duniya ki nazron se chhupate guzri hai

Source :
  • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 122)

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now