Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek laDki

Muneer Niyazi

ek laDki

Muneer Niyazi

zarā us ḳhud apne

jazboñ se majbūr laḌkī ko dekho

jo ik shāḳh-e-gul tarah

an-ginat chāhatoñ ke jhakoloñ zad meñ

uḌī rahī hai

ye laḌkī

jo apne phuul aaise kapḌoñ se sharmātī

āñchal sameTe nigāheñ jhukā.e chalī rahī hai

jab apne hasīñ ghar dahlīz par rukegī

to mukh moḌ kar muskurā.egī jaise

abhī us ne ik ghaat meñ baiThe

dil ko pasand aane vaale

shikārī ko dhokā diyā hai

zara us KHud apne hi

jazbon se majbur laDki ko dekho

jo ek shaKH-e-gul ki tarah

an-ginat chahaton ke jhakolon ki zad mein

uDi ja rahi hai

ye laDki

jo apne hi phul aaise kapDon se sharmati

aanchal sameTe nigahen jhukae chali ja rahi hai

jab apne hasin ghar ki dahliz par ja rukegi

to mukh moD kar muskuraegi jaise

abhi us ne ek ghat mein baiThe

dil ko pasand aane wale

shikari ko dhoka diya hai

RECITATIONS

Fahad Husain

Fahad Husain,

00:00/00:00
Fahad Husain

Ek Ladki - Muneer Niyazi Fahad Husain

Source :
  • Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 61)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now