etimad
bolī ḳhud-sar havā ek zarra hai tū
yuuñ uḌā dūñgī maiñ, mauj-e-dariyā baḌhī
bolī mere liye ek tinkā hai tū
yuuñ bahā dūñgī maiñ, ātish-e-tuñd kī
ik lapaT ne kahā maiñ jalā Dālūñgī
aur zamīñ ne kahā maiñ nigal jā.ūñgī
maiñ ne chehre se apne ulaT dī naqāb
aur hañs kar kahā, maiñ sulaimān huuñ
ibn-e-ādam huuñ maiñ yaanī insān huuñ
boli KHud-sar hawa ek zarra hai tu
yun uDa dungi main, mauj-e-dariya baDhi
boli mere liye ek tinka hai tu
yun baha dungi main, aatish-e-tund ki
ek lapaT ne kaha main jala Dalungi
aur zamin ne kaha main nigal jaungi
main ne chehre se apne ulaT di naqab
aur hans kar kaha, main sulaiman hun
ibn-e-adam hun main yani insan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.