Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nau-jawan se

Asrarul Haq Majaz

nau-jawan se

Asrarul Haq Majaz

jalāl-e-ātish-o-barq-o-sahāb paidā kar

ajal bhī kaañp uThe vo shabāb paidā kar

tire ḳhirām meñ hai zalzaloñ raaz nihāñ

har ek gaam par ik inqalāb paidā kar

sadā-e-tīsha-e-mazdūr hai tirā naġhma

sañg-o-ḳhisht se chañg-o-rubāb paidā kar

bahut latīf hai ai dost teġh bosa

yahī hai jān-e-jahāñ is meñ aab paidā kar

tire qadam pe nazar aa.e mahfil-e-anjum

vo bāñkpan vo achhūtā shabāb paidā kar

tirā shabāb amānat hai saarī duniyā

ḳhār-zār-e-jahāñ meñ gulāb paidā kar

sukūn-e-ḳhāb hai be-dast-o-pā za.īfī

iztirāb hai ḳhud iztirāb paidā kar

na dekh zohd ismat-e-gunah-ālūd

gunah meñ fitrat-e-ismat-ma.āb paidā kar

tire jilau meñ na.ī jannateñ na.e dozaḳh

na.ī jazā.eñ anokhe azaab paidā kar

sharāb khīñchī hai sab ne ġharīb ke ḳhuuñ se

ab amiir ke ḳhuuñ se sharāb paidā kar

girā de qasr-e-tamaddun ki ik fareb hai ye

uThā de rasm-e-mohabbat azaab paidā kar

jo ho sake hameñ pāmāl kar ke aage baḌh

jo ho sake to hamārā javāb paidā kar

bahe zamīñ pe jo merā lahū to ġham mat kar

isī zamīñ se mahakte gulāb paidā kar

inqalāb aamad intizār na kar

jo ho sake to abhī inqalāb paidā kar

jalal-e-atish-o-barq-o-sahab paida kar

ajal bhi kanp uThe wo shabab paida kar

tere KHiram mein hai zalzalon ka raaz nihan

har ek gam par ek inqalab paida kar

sada-e-tisha-e-mazdur hai tera naghma

tu sang-o-KHisht se chang-o-rubab paida kar

bahut latif hai ai dost tegh ka bosa

yahi hai jaan-e-jahan is mein aab paida kar

tere qadam pe nazar aae mahfil-e-anjum

wo bankpan wo achhuta shabab paida kar

tera shabab amanat hai sari duniya ki

tu KHar-zar-e-jahan mein gulab paida kar

sukun-e-KHab hai be-dast-o-pa zaifi ka

tu iztirab hai KHud iztirab paida kar

na dekh zohd ki tu ismat-e-gunah-alud

gunah mein fitrat-e-ismat-maab paida kar

tere jilau mein nai jannaten nae dozaKH

nai jazaen anokhe azab paida kar

sharab khinchi hai sab ne gharib ke KHun se

tu ab amir ke KHun se sharab paida kar

gira de qasr-e-tamaddun ki ek fareb hai ye

uTha de rasm-e-mohabbat azab paida kar

jo ho sake hamein pamal kar ke aage baDh

jo ho sake to hamara jawab paida kar

bahe zamin pe jo mera lahu to gham mat kar

isi zamin se mahakte gulab paida kar

tu inqalab ki aamad ka intizar na kar

jo ho sake to abhi inqalab paida kar

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Unknown

Unknown

Source :
  • Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 129)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now