Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inqalab

chhoḌ de mutrib bas ab lillāh pīchhā chhoḌ de

kaam ye vaqt hai kuchh kaam karne de mujhe

terī tānoñ meñ hai zālim kis qayāmat asar

bijliyāñ gir rahī haiñ ḳhirman-e-idrāk par

ye ḳhayāl aatā hai rah rah kar dil-e-betāb meñ

bah na jā.ūñ phir tire naġhmāt ke sailāb meñ

chhoḌ kar aayā huuñ kis mushkil se maiñ jām-o-subū!

aah kis dil se kiyā hai maiñ ne ḳhūn-e-ārzū

phir shabistān-e-tarab raah dikhlātā hai

mujh ko karnā chāhtā hai phir ḳharāb-e-rañg-o-bū

maiñ ne maanā vajd meñ duniyā ko saktā hai

maiñ ne ye maanā ġham-e-hastī miTā saktā hai

maiñ ne ye maanā ġham-e-hastī miTā saktā hai

maiñ ne maanā terī mausīqī hai itnī pur-asar

jhuum uThte haiñ farishte tak tire naġhmāt par

haañ ye sach hai zamzame tere machāte haiñ vo dhuum

jhuum jaate haiñ manāzir, raqs karte haiñ nujūm

tere naġhme se vābasta nashāt-e-zindagī

tere naġhme se kaif-o-imbisāt-e-zindagī

terī saut-e-sarmadī bāġh-e-tasavvuf bahār

tere naġhmoñ se be-ḳhud ābid-e-shab-zinda-dār

bulbuleñ naġhma-sarā haiñ terī taqlīd meñ

tere naġhmoñ se dhūmeñ mahfil-e-nāhīd meñ

mujh ko tere sehr-e-mausīqī se kab inkār hai

mujh ko tere lahn-e-dā.ūdī se kab inkār hai

bazm-e-hastī magar kyā rañg hai ye bhī to dekh

har zabāñ par ab salā-e-jañg hai ye bhī to dekh

farsh-e-gītī se sakūñ ab mā.il-e-parvāz hai

abr ke pardoñ meñ sāz-e-jañg āvāz hai

pheñk de ai dost ab bhī pheñk de apnā rubāb

uThne vaalā hai koī dam meñ shor-e-inqalāb

aa rahe haiñ jañg ke bādal vo mañDlāte hue

aag dāman meñ chhupā.e ḳhuun barsāte hue

koh-o-sahrā meñ zamīñ se ḳhuun ublegā abhī

rañg ke badle guloñ se ḳhuun Tapkegā abhī

baḌh rahe haiñ dekh vo mazdūr darrāte hue

ik junūñ-añgez lai meñ jaane kyā gaate hue

sar-kashī tund āñdhī dam-ba-dam chaḌhtī huī

har taraf yalġhār kartī har taraf baḌhtī huī

bhuuk ke maare hue insāñ fariyādoñ ke saath

fāqa-mastoñ ke jilau meñ ḳhāna-barbādoñ ke saath

ḳhatm ho jā.egā ye sarmāya-dārī nizām

rañg laane ko hai mazdūroñ josh-e-intiqām

gir paḌeñge ḳhauf se aivān-e-ishrat ke sutūñ

ḳhuun ban jā.egī shīshoñ meñ sharāb-e-lāla-gūñ

ḳhuun le ke jañgal se havā.eñ ā.eñgī

ḳhuuñ ḳhuuñ hogā nigāheñ jis taraf bhī jā.eñgī

jhoñpaḌoñ meñ ḳhūñ, mahal meñ ḳhūñ, shabistānoñ meñ ḳhuuñ

dasht meñ ḳhūñ, vādiyoñ meñ ḳhūñ, bayābānoñ meñ ḳhuuñ

pur-sukūñ sahrā meñ ḳhūñ, betāb dariyāoñ meñ ḳhuuñ

dair meñ ḳhūñ, masjid meñ ḳhūñ, kalīsāoñ meñ ḳhuuñ

ḳhuun ke dariyā nazar ā.eñge har maidān meñ

Duub jā.eñgī chaTāneñ ḳhuun ke tūfān meñ

ḳhuun rañgīniyoñ meñ Duub jā.egī bahār

reg-e-sahrā par nazar ā.eñge lākhoñ lāla-zār

ḳhuun se rañgīñ fazā-e-bostāñ ho jā.egī

nargis-e-maḳhmūr chashm-e-ḳhūñ-fishāñ ho jā.egī

kohsāroñ taraf se ''surḳh-āñdhī'' aa.egī

jā-ba-jā ābādiyoñ meñ aag lag jā.egī

toḌ kar beḌī nikal ā.eñge zindāñ se asiir

bhuul jā.eñge ibādat ḳhānqāhoñ meñ faqīr

hashr-dar-āġhosh ho jā.egī duniyā fazā

dauḌtā hogā har ik jānib farishta maut

surḳh hoñge ḳhuun ke chhīñToñ se bām-o-dar tamām

ġharq hoñge ātishīñ malbūs meñ manzar tamām

is tarah legā zamāna jañg ḳhūnīñ sabaq

āsmāñ par ḳhaak hogī, farq par rañg-e-shafaq

aur is rañg-e-shafaq meñ bā-hazārāñ āb-o-tāb!

jagmagā.egā vatan hurriyat āftāb

chhoD de mutrib bas ab lillah pichha chhoD de

kaam ka ye waqt hai kuchh kaam karne de mujhe

teri tanon mein hai zalim kis qayamat ka asar

bijliyan si gir rahi hain KHirman-e-idrak par

ye KHayal aata hai rah rah kar dil-e-betab mein

bah na jaun phir tere naghmat ke sailab mein

chhoD kar aaya hun kis mushkil se main jam-o-subu!

aah kis dil se kiya hai main ne KHun-e-arzu

phir shabistan-e-tarab ki rah dikhlata hai tu

mujh ko karna chahta hai phir KHarab-e-rang-o-bu

main ne mana wajd mein duniya ko la sakta hai tu

main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu

main ne ye mana gham-e-hasti miTa sakta hai tu

main ne mana teri mausiqi hai itni pur-asar

jhum uThte hain farishte tak tere naghmat par

han ye sach hai zamzame tere machate hain wo dhum

jhum jate hain manazir, raqs karte hain nujum

tere hi naghme se wabasta nashat-e-zindagi

tere hi naghme se kaif-o-imbisat-e-zindagi

teri saut-e-sarmadi bagh-e-tasawwuf ki bahaar

tere hi naghmon se be-KHud aabid-e-shab-zinda-dar

bulbulen naghma-sara hain teri hi taqlid mein

tere hi naghmon se dhumen mahfil-e-nahid mein

mujh ko tere sehr-e-mausiqi se kab inkar hai

mujh ko tere lahn-e-daudi se kab inkar hai

bazm-e-hasti ka magar kya rang hai ye bhi to dekh

har zaban par ab sala-e-jang hai ye bhi to dekh

farsh-e-giti se sakun ab mail-e-parwaz hai

abr ke pardon mein saz-e-jang ki aawaz hai

phenk de ai dost ab bhi phenk de apna rubab

uThne hi wala hai koi dam mein shor-e-inqalab

aa rahe hain jang ke baadal wo manDlate hue

aag daman mein chhupae KHun barsate hue

koh-o-sahra mein zamin se KHun ublega abhi

rang ke badle gulon se KHun Tapkega abhi

baDh rahe hain dekh wo mazdur darraate hue

ek junun-angez lai mein jaane kya gate hue

sar-kashi ki tund aandhi dam-ba-dam chaDhti hui

har taraf yalghaar karti har taraf baDhti hui

bhuk ke mare hue insan ki fariyaadon ke sath

faqa-maston ke jilau mein KHana-barbaadon ke sath

KHatm ho jaega ye sarmaya-dari ka nizam

rang lane ko hai mazduron ka josh-e-intiqam

gir paDenge KHauf se aiwan-e-ishrat ke sutun

KHun ban jaegi shishon mein sharab-e-lala-gun

KHun ki bu le ke jangal se hawaen aaengi

KHun hi KHun hoga nigahen jis taraf bhi jaengi

jhonpaDon mein KHun, mahal mein KHun, shabistanon mein KHun

dasht mein KHun, wadiyon mein KHun, bayabanon mein KHun

pur-sukun sahra mein KHun, betab dariyaon mein KHun

dair mein KHun, masjid mein KHun, kalisaon mein KHun

KHun ke dariya nazar aaenge har maidan mein

Dub jaengi chaTanen KHun ke tufan mein

KHun ki ranginiyon mein Dub jaegi bahaar

reg-e-sahra par nazar aaenge lakhon lala-zar

KHun se rangin faza-e-bostan ho jaegi

nargis-e-maKHmur chashm-e-KHun-fishan ho jaegi

kohsaron ki taraf se surKH-andhi aaegi

ja-ba-ja aabaadiyon mein aag si lag jaegi

toD kar beDi nikal aaenge zindan se asir

bhul jaenge ibaadat KHanqahon mein faqir

hashr-dar-aghosh ho jaegi duniya ki faza

dauDta hoga har ek jaanib farishta maut ka

surKH honge KHun ke chhinTon se baam-o-dar tamam

gharq honge aatishin malbus mein manzar tamam

is tarah lega zamana jang ka KHunin sabaq

aasman par KHak hogi, farq par rang-e-shafaq

aur is rang-e-shafaq mein ba-hazaran aab-o-tab!

jagmagaega watan ki hurriyat ka aaftab

Source :
  • Book : Aahang (Pg. 66)
  • Author : Asrar-ul-Haq Majaz
  • Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
  • Edition : 2011

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now