Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inqalab

ai jān-e-naġhma jahāñ sogvār kab se hai

tire liye ye zamīñ be-qarār kab se hai

hujūm-e-shauq sar-e-rahguzār kab se hai

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

na tābnākī-e-ruḳh hai na kākuloñ hujūm

hai zarra zarra pareshāñ kalī kalī maġhmūm

hai kul jahāñ muta.affin havā.eñ sab masmūm

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

ruḳh-e-hayāt pe kākul barhamī nahīñ

nigār-e-dahr meñ andāz-e-maryamī nahīñ

masīh o ḳhizr kahne ko kuchh kamī nahīñ

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

hayāt-baḳhsh tarāne asiir haiñ kab se

gulū-e-zehra meñ paivast tiir haiñ kab se hai

qafas meñ band tire ham-safīr haiñ kab se

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

haram ke dosh pe uqbā daam hai ab tak

saroñ meñ diin saudā-e-ḳhām hai ab tak

tavahhumāt aadam ġhulām hai ab tak

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

abhī dimāġh pe qahbā-e-sīm-o-zar hai savār

abhī rukī nahīñ tesha-zan ke ḳhuun dhaar

shamīm-e-adl se mahkeñ ye kūcha o bāzār

guzar bhī ki tirā intizār kab se hai

ai jaan-e-naghma jahan sogwar kab se hai

tere liye ye zamin be-qarar kab se hai

hujum-e-shauq sar-e-rahguzar kab se hai

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

na tabnaki-e-ruKH hai na kakulon ka hujum

hai zarra zarra pareshan kali kali maghmum

hai kul jahan mutaffin hawaen sab masmum

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

ruKH-e-hayat pe kakul ki barhami hi nahin

nigar-e-dahr mein andaz-e-maryami hi nahin

masih o KHizr ki kahne ko kuchh kami hi nahin

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

hayat-baKHsh tarane asir hain kab se

gulu-e-zehra mein paiwast tir hain kab se hai

qafas mein band tere ham-safir hain kab se

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

haram ke dosh pe uqba ka dam hai ab tak

saron mein din ka sauda-e-KHam hai ab tak

tawahhumat ka aadam ghulam hai ab tak

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

abhi dimagh pe qahba-e-sim-o-zar hai sawar

abhi ruki hi nahin tesha-zan ke KHun ki dhaar

shamim-e-adl se mahken ye kucha o bazar

guzar bhi ja ki tera intizar kab se hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now