Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dastur

Habib Jalib

dastur

Habib Jalib

diip jis mahallāt meñ jale

chand logoñ ḳhushiyoñ ko le kar chale

vo jo saa.e meñ har maslahat ke pale

aise dastūr ko sub.h-e-be-nūr ko

maiñ nahīñ māntā maiñ nahīñ jāntā

maiñ bhī ḳhā.if nahīñ taḳhta-e-dār se

maiñ bhī mansūr huuñ kah do aġhyār se

kyuuñ Darāte ho zindāñ dīvār se

zulm baat ko jahl raat ko

maiñ nahīñ māntā maiñ nahīñ jāntā

phuul shāḳhoñ pe khilne lage tum kaho

jaam rindoñ ko milne lage tum kaho

chaak sīnoñ ke silne lage tum kaho

is khule jhuuT ko zehn luuT ko

maiñ nahīñ māntā maiñ nahīñ jāntā

tum ne luuTā hai sadiyoñ hamārā sukūñ

ab na ham par chalegā tumhārā fusūñ

chārāgar dardmandoñ ke bante ho kyuuñ

tum nahīñ chārāgar koī maane magar

maiñ nahīñ māntā maiñ nahīñ jāntā

dip jis ka mahallat hi mein jale

chand logon ki KHushiyon ko le kar chale

wo jo sae mein har maslahat ke pale

aise dastur ko subh-e-be-nur ko

main nahin manta main nahin jaanta

main bhi KHaif nahin taKHta-e-dar se

main bhi mansur hun kah do aghyar se

kyun Daraate ho zindan ki diwar se

zulm ki baat ko jahl ki raat ko

main nahin manta main nahin jaanta

phul shaKHon pe khilne lage tum kaho

jam rindon ko milne lage tum kaho

chaak sinon ke silne lage tum kaho

is khule jhuT ko zehn ki luT ko

main nahin manta main nahin jaanta

tum ne luTa hai sadiyon hamara sukun

ab na hum par chalega tumhaara fusun

chaaragar dardmandon ke bante ho kyun

tum nahin chaaragar koi mane magar

main nahin manta main nahin jaanta

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Habib Jalib

Habib Jalib

RECITATIONS

Habib Jalib

Habib Jalib,

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Habib Jalib

dastur Habib Jalib

Nomaan Shauque

dastur Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now