Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand raat

Parveen Shakir

chand raat

Parveen Shakir

ga.e baras iid din kyā achchhā thā

chāñd ko dekh ke us chehra dekhā thā

fazā meñ 'keats' ke lahje narmāhaT thī

mausam apne rañg meñ 'faiz' misra thā

duā ke be-āvāz ulūhī lamhoñ meñ

vo lamha bhī kitnā dilkash lamha thā

haath uThā kar jab ā.ankhoñ ā.ankhoñ meñ

us ne mujh ko apne rab se māñgā thā

phir mere chehre ko hāthoñ meñ le kar

kitne pyaar se merā māthā chūmā thaa!

havā! kuchh aaj shab bhī ahvāl sunā

kyā vo apnī chhat par aaj akelā thaa?

koī mere jaisī saath thī aur us ne

chāñd ko dekh ke us chehra dekhā thaa?

gae baras ki id ka din kya achchha tha

chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha

faza mein 'keats' ke lahje ki narmahaT thi

mausam apne rang mein 'faiz' ka misra tha

dua ke be-awaz uluhi lamhon mein

wo lamha bhi kitna dilkash lamha tha

hath uTha kar jab aaankhon hi aaankhon mein

us ne mujh ko apne rab se manga tha

phir mere chehre ko hathon mein le kar

kitne pyar se mera matha chuma tha!

hawa! kuchh aaj ki shab ka bhi ahwal suna

kya wo apni chhat par aaj akela tha?

ya koi mere jaisi sath thi aur us ne

chand ko dekh ke us ka chehra dekha tha?

Source :
  • Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 96)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now