Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

an-kahi

tujh ko ma.alūm nahīñ tujh ko bhalā kyā ma.alūm

tere chehre ke ye saada se achhūte se nuqūsh

merī taḳh.īl ko kyā rañg atā karte haiñ

terī zulfeñ tirī āñkheñ tire aariz tire hoñT

kaisī an-jānī ma.asūm ḳhatā karte haiñ

tere qāmat lachaktā huā maġhrūr tanāv

jaise phūloñ se ladī shāḳh havā meñ lahrā.e

vo chhalakte hue sāġhar javānī vo badan

jaise sho.ala nigāhoñ meñ lapak kar rah jaa.e

ḳhalvat-e-bazm ho jalvat-e-tanhā.ī ho

terā paikar mirī nazroñ meñ ubhar aatā hai

koī saa.at ho koī fikr ho koī māhaul

koī saa.at ho koī fikr ho koī māhaul

mujh ko har samt tirā husn nazar aatā hai

chalte chalte jo qadam aap ThiThak jaate haiñ

sochtā huuñ ki kahīñ ne pukārā to nahīñ

gum ho jaatī haiñ nazreñ to ḳhayāl aatā hai

is meñ pinhāñ tirī āñkhoñ ishāra to nahīñ

dhuup meñ saaya bhī hotā hai gurezāñ jis dam

terī zulfeñ mire shānoñ pe bikhar jaatī haiñ

jhuk ke jab sar kisī patthar pe Tikā detā huuñ

terī bāheñ mirī gardan meñ utar aatī haiñ

aañkh lagtī hai to dil ko ye gumāñ hotā hai

sar-e-bālīñ koī baiThā hai baḌe pyaar ke saath

mere bikhre hue uljhe hue bāloñ meñ koī

uñgliyāñ phertā jaatā hai baḌe pyaar ke saath

jaane kyuuñ tujh se dil-e-zār ko itnī hai lagan

kaisī kaisī na tamannāoñ tamhīd hai

din meñ ik shab-e-mahtāb hai merī ḳhātir

sard rātoñ meñ mire vāste ḳhurshīd hai

apnī dīvāngi-e-shauq pe hañstā bhī huuñ maiñ

aur phir apne ḳhayālāt meñ kho jaatā huuñ

tujh ko apnāne himmat hai na kho dene zarf

kabhī hañste kabhī rote hue so jaatā huuñ maiñ

kis ko ma.alūm mire ḳhvāboñ ta.abīr hai kyā

kaun jaane ki mire ġham haqīqat kyā hai

maiñ samajh bhī luuñ agar is ko mohabbat junūñ

tujh ko is ishq-e-junūñ-ḳhez se nisbat kyā hai

tujh ko ma.alūm nahīñ tujh ko na hogā ma.alūm

tere chehre ke ye saada se achhūte se nuqūsh

merī taḳh.īl ko kyā rañg atā karte haiñ

terī zulfeñ terī āñkheñ tire aariz tire hoñT

kaisī an-jānī ma.asūm ḳhatā karte haiñ

tujh ko malum nahin tujh ko bhala kya malum

tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush

meri taKHil ko kya rang ata karte hain

teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT

kaisi an-jaani si masum KHata karte hain

tere qamat ka lachakta hua maghrur tanaw

jaise phulon se ladi shaKH hawa mein lahrae

wo chhalakte hue saghar si jawani wo badan

jaise shoala sa nigahon mein lapak kar rah jae

KHalwat-e-bazm ho ya jalwat-e-tanhai ho

tera paikar meri nazron mein ubhar aata hai

koi saat ho koi fikr ho koi mahaul

koi saat ho koi fikr ho koi mahaul

mujh ko har samt tera husn nazar aata hai

chalte chalte jo qadam aap ThiThak jate hain

sochta hun ki kahin tu ne pukara to nahin

gum si ho jati hain nazren to KHayal aata hai

is mein pinhan teri aankhon ka ishaara to nahin

dhup mein saya bhi hota hai gurezan jis dam

teri zulfen mere shanon pe bikhar jati hain

jhuk ke jab sar kisi patthar pe Tika deta hun

teri bahen meri gardan mein utar aati hain

aankh lagti hai to dil ko ye guman hota hai

sar-e-baalin koi baiTha hai baDe pyar ke sath

mere bikhre hue uljhe hue baalon mein koi

ungliyan pherta jata hai baDe pyar ke sath

jaane kyun tujh se dil-e-zar ko itni hai lagan

kaisi kaisi na tamannaon ki tamhid hai tu

din mein tu ek shab-e-mahtab hai meri KHatir

sard raaton mein mere waste KHurshid hai tu

apni diwangi-e-shauq pe hansta bhi hun main

aur phir apne KHayalat mein kho jata hun

tujh ko apnane ki himmat hai na kho dene ka zarf

kabhi hanste kabhi rote hue so jata hun main

kis ko malum mere KHwabon ki tabir hai kya

kaun jaane ki mere gham ki haqiqat kya hai

main samajh bhi lun agar is ko mohabbat ka junun

tujh ko is ishq-e-junun-KHez se nisbat kya hai

tujh ko malum nahin tujh ko na hoga malum

tere chehre ke ye sada se achhute se nuqush

meri taKHil ko kya rang ata karte hain

teri zulfen teri aankhen tere aariz tere honT

kaisi an-jaani si masum KHata karte hain

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Himayat Ali Shayar

Himayat Ali Shayar

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now