Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hind ke jaan-baz sipahi

Barq Dehlvi

hind ke jaan-baz sipahi

Barq Dehlvi

sar-ba-kaf hind ke jāñ-bāz-e-vatan laḌte haiñ

teġh-e-nau le saf-e-dushman meñ ghuse paḌte haiñ

ek khāte haiñ to do muñh pe vahīñ jaḌte haiñ

hashr kar dete haiñ barpā ye jahāñ aḌte haiñ

josh meñ aate haiñ dariyā ravānī tarah

ḳhuun dushman bahā dete haiñ paanī tarah

jab baḌhāte haiñ qadam pīchhe phir haTte nahīñ

hausle un ke jo baḌhte haiñ to ghaTte nahīñ

dam-e-paikār harīfoñ se ye kaTte nahīñ

ulTe qadmoñ pe bilā fat.h palaTte nahīñ

hech haiñ un ke liye āhanī dīvāreñ bhī

rok saktī nahīñ faulād dīvāreñ bhī

jazba-e-hubb-e-vatan dil meñ nihāñ rakhte haiñ

misl-e-ḳhūñ josh ye rag rag meñ ravāñ rakhte haiñ

sar hathelī pe to qabze meñ sināñ rakhte haiñ

aañkh jhapkāne bhī taab kahāñ rakhte haiñ

niklī paḌtī haiñ ḳhud myaan se teġheñ un

DhūñDhtī apnā muqābil haiñ nigāheñ un

khiñch ke dushman se gale teġh-e-ravāñ miltī hai

dam dafnā karne ko ġhārat-gar-e-jāñ miltī hai

ḳhuun bahtā hai dariyā ye jahāñ miltī hai

maut god meñ dushman ko amaañ miltī hai

teġh ke ghaaT utartā hai muqābil un

ran meñ paanī bhī nahīñ māñgtā bismil un

vaar bhūle se bhī paḌtā nahīñ ochhā un

haath hotā hai zabāñ tarah sachchā un

jis ne dekhā kabhī muñh dekhā na pīchhā un

maut bhī māntī hai razm meñ lohā un

ran meñ biphre hue sheroñ tarah laḌte haiñ

saaf kar dete haiñ jis saf pe ye paḌte haiñ

muñh pe talvār chaḌhte haiñ sipar sūrat

teġh ke phal ko ye khāte haiñ samar sūrat

hausle aur baḌhātī hai ḳhatar sūrat

maut meñ bhī nazar aatī hai zafar sūrat

chhalnī ho jaatā hai zaḳhmoñ se agar tan un

teġh ke saaya meñ ban jaatā hai madfan un

razm ko bazm samajhte haiñ ye mardā-r-vatan

shāhid-e-marg hai un ke liye chauthī dulhan

ye vo sar-bāz haiñ rakhte haiñ baham teġh o kafan

haath dikhlāte haiñ jab paḌtā hai ghamsān ran

un shamshīr-e-do-paikar pe zafar sadqe hai

un bartāniya ke naam pe sar sadqe hai

sar-ba-kaf hind ke jaan-baz-e-watan laDte hain

tegh-e-nau le saf-e-dushman mein ghuse paDte hain

ek khate hain to do munh pe wahin jaDte hain

hashr kar dete hain barpa ye jahan aDte hain

josh mein aate hain dariya ki rawani ki tarah

KHun dushman ka baha dete hain pani ki tarah

jab baDhate hain qadam pichhe phir haTte hi nahin

hausle un ke jo baDhte hain to ghaTte hi nahin

dam-e-paikar harifon se ye kaTte hi nahin

ulTe qadmon pe bila fath palaTte hi nahin

hech hain un ke liye aahani diwaren bhi

rok sakti nahin faulad ki diwaren bhi

jazba-e-hubb-e-watan dil mein nihan rakhte hain

misl-e-KHun josh ye rag rag mein rawan rakhte hain

sar hatheli pe to qabze mein sinan rakhte hain

aankh jhapkane ki bhi tab kahan rakhte hain

nikli hi paDti hain KHud myan se teghen un ki

DhunDhti apna muqabil hain nigahen un ki

khinch ke dushman se gale tegh-e-rawan milti hai

dam dafna karne ko ghaarat-gar-e-jaan milti hai

KHun ka bahta hai dariya ye jahan milti hai

maut ki god mein dushman ko aman milti hai

tegh ke ghaT utarta hai muqabil un ka

ran mein pani bhi nahin mangta bismil un ka

war bhule se bhi paDta nahin ochha un ka

hath hota hai zaban ki tarah sachcha un ka

jis ne dekha kabhi munh dekha na pichha un ka

maut bhi manti hai razm mein loha un ka

ran mein biphre hue sheron ki tarah laDte hain

saf kar dete hain jis saf pe ye ja paDte hain

munh pe talwar ki chaDhte hain sipar ki surat

tegh ke phal ko ye khate hain samar ki surat

hausle aur baDhati hai KHatar ki surat

maut mein bhi nazar aati hai zafar ki surat

chhalni ho jata hai zaKHmon se agar tan un ka

tegh ke saya mein ban jata hai madfan un ka

razm ko bazm samajhte hain ye marda-r-watan

shahid-e-marg hai un ke liye chauthi ki dulhan

ye wo sar-baz hain rakhte hain baham tegh o kafan

hath dikhlate hain jab paDta hai ghamsan ka ran

un ki shamshir-e-do-paikar pe zafar sadqe hai

un ka bartaniya ke nam pe sar sadqe hai

Source :
  • Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 546)
  • Author : Ali Jawad Zaidi
  • Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
  • Edition : 1998

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now