shikayat
ye tum ne kyā likhā
maiñ ne tumheñ dil se bhulā Daalā
tumheñ to yaad hogā
bichhaḌte vaqt tum ne hī kahā thā
agar tum chāhte ho ye
tumhāre aur mere darmiyāñ
ye rishta umr bhar yūñhī rahe qaa.em
to in lafzoñ se yūñhī dostī rakhnā
kabhī fursat mile to aao aur dekho
meñ ab bhī lafz likhtā huuñ
meñ in lafzoñ meñ jiitā aur martā huuñ
meñ in lafzoñ meñ apnā ġham
kuchh is sūrat samotā huuñ
ki merā ġham bhī sab ko
apnā ġham ma.alūm hotā hai
tumheñ fursat mile to aao aur dekho
mirī sāñsoñ meñ basne vaalā ik pal bhī
tumhāre zikr se ḳhālī nahīñ hotā
ye tum ne kya likha
main ne tumhein dil se bhula Dala
tumhein to yaad hoga
bichhaDte waqt tum ne hi kaha tha
agar tum chahte ho ye
tumhaare aur mere darmiyan
ye rishta umr bhar yunhi rahe qaem
to in lafzon se yunhi dosti rakhna
kabhi fursat mile to aao aur dekho
mein ab bhi lafz likhta hun
mein in lafzon mein jita aur marta hun
mein in lafzon mein apna gham
kuchh is surat samota hun
ki mera gham bhi sab ko
apna gham malum hota hai
tumhein fursat mile to aao aur dekho
meri sanson mein basne wala ek pal bhi
tumhaare zikr se KHali nahin hota
- Book : Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 46)
- Author : Farooq Bakhshi
- Publication : Modern Publishing House (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.