itna malum hai!
apne bistar pe bahut der se maiñ nīm-darāz
sochtī thī ki vo is vaqt kahāñ par hogā
maiñ yahāñ huuñ magar us kūcha-e-rañg-o-bū meñ
roz kī tarah se vo aaj bhī aayā hogā
aur jab us ne vahāñ mujh ko na paayā hogā!?
aap ko ilm hai vo aaj nahīñ aa.ī haiñ?
merī har dost se us ne yahī pūchhā hogā
kyuuñ nahīñ aa.ī vo kyā baat huī hai āḳhir
ḳhud se is baat pe sau baar vo uljhā hogā
kal vo aa.egī to maiñ us se nahīñ bolūñgā
aap hī aap ka.ī baar vo rūThā hogā
vo nahīñ hai to bulandī kā safar kitnā kaThin
sīḌhiyāñ chaḌhte hue us ne ye sochā hogā
rāhdārī meñ hare lawn meñ phūloñ ke qarīb
us ne har samt mujhe aan ke DhūñDā hogā
naam bhūle se jo merā kahīñ aayā hogā
ġhair-mahsūs tarīqe se vo chauñkā hogā
ek jumle ko ka.ī baar sunāyā hogā
baat karte hue sau baar vo bhūlā hogā
ye jo laḌkī na.ī aa.ī hai kahīñ vo to nahīñ
us ne har chehra yahī soch ke dekhā hogā
jān-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baġhair
haa.e kis darja vahī bazm meñ tanhā hogā
kabhī sannāToñ se vahshat jo huī hogī use
us ne be-sāḳhta phir mujh ko pukārā hogā
chalte chalte koī mānūs sī aahaT pā kar
dostoñ ko bhī kis uzr se rokā hogā
yaad kar ke mujhe nam ho ga.ī hoñgī palkeñ
''āñkh meñ paḌ gayā kuchh'' kah ke ye Taalā hogā
aur ghabrā ke kitāboñ meñ jo lī hogī panāh
har satar meñ mirā chehra ubhar aayā hogā
jab milī hogī use merī alālat kī ḳhabar
us ne āhista se dīvār ko thāmā hogā
soch kar ye ki bahal jaa.e pareshānī-e-dil
yūñhī be-vaj.h kisī shaḳhs ko rokā hogā!
ittifāqan mujhe us shaam mirī dost milī
maiñ ne pūchhā ki suno aa.e the vo? kaise the?
mujh ko pūchhā thā mujhe DhūñDā thā chāroñ jānib?
us ne ik lamhe ko dekhā mujhe aur phir hañs dī
is hañsī meñ to vo talḳhī thī ki is se aage
kyā kahā us ne mujhe yaad nahīñ hai lekin
itnā ma.alūm hai ḳhvāboñ kā bharam TuuT gayā!
apne bistar pe bahut der se main nim-daraaz
sochti thi ki wo is waqt kahan par hoga
main yahan hun magar us kucha-e-rang-o-bu mein
roz ki tarah se wo aaj bhi aaya hoga
aur jab us ne wahan mujh ko na paya hoga!?
aap ko ilm hai wo aaj nahin aai hain?
meri har dost se us ne yahi puchha hoga
kyun nahin aai wo kya baat hui hai aaKHir
KHud se is baat pe sau bar wo uljha hoga
kal wo aaegi to main us se nahin bolunga
aap hi aap kai bar wo ruTha hoga
wo nahin hai to bulandi ka safar kitna kaThin
siDhiyan chaDhte hue us ne ye socha hoga
rahdari mein hare lawn mein phulon ke qarib
us ne har samt mujhe aan ke DhunDa hoga
nam bhule se jo mera kahin aaya hoga
ghair-mahsus tariqe se wo chaunka hoga
ek jumle ko kai bar sunaya hoga
baat karte hue sau bar wo bhula hoga
ye jo laDki nai aai hai kahin wo to nahin
us ne har chehra yahi soch ke dekha hoga
jaan-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baghair
hae kis darja wahi bazm mein tanha hoga
kabhi sannaTon se wahshat jo hui hogi use
us ne be-saKHta phir mujh ko pukara hoga
chalte chalte koi manus si aahaT pa kar
doston ko bhi kis uzr se roka hoga
yaad kar ke mujhe nam ho gai hongi palken
aankh mein paD gaya kuchh kah ke ye Tala hoga
aur ghabra ke kitabon mein jo li hogi panah
har satar mein mera chehra ubhar aaya hoga
jab mili hogi use meri alalat ki KHabar
us ne aahista se diwar ko thama hoga
soch kar ye ki bahal jae pareshani-e-dil
yunhi be-wajh kisi shaKHs ko roka hoga!
ittifaqan mujhe us sham meri dost mili
main ne puchha ki suno aae the wo? kaise the?
mujh ko puchha tha mujhe DhunDa tha chaaron jaanib?
us ne ek lamhe ko dekha mujhe aur phir hans di
is hansi mein to wo talKHi thi ki is se aage
kya kaha us ne mujhe yaad nahin hai lekin
itna malum hai KHwabon ka bharam TuT gaya!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(khushbo) (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.