shikast
mujhe apne bairūn kī justujū thī
ki vo aañkh se apnī dekhā thā maiñ ne
jazā.er
vo sab reḳhta nā-rasīda jazā.er
ḳhalāoñ meñ bikhre gire
zīst-āsār ke shā.ebe jin meñ the
ab mirī justujū yā havas kā
hadaf ban ga.e the
maiñ un kī tamannā liye
dilkash o mast rāhoñ meñ
ik umr ghūmā kiyā
māh-o-anjum ko chūmā kyā
aur kal shaam
ba.ad-az-safar
bā-hazārāñ zafar
apne bairūn kī dastyābī ke
jashn-e-tarab meñ
maiñ jab shādmāñ thā
yakāyak nigah
andarūñ kī taraf muḌ ga.ī
ik shikast-e-ajab zaat se juḌ ga.ī
mujhe apne bairun ki justuju thi
ki wo aankh se apni dekha tha main ne
jazaer
wo sab reKHta na-rasida jazaer
KHalaon mein bikhre gire
zist-asar ke shaebe jin mein the
ab meri justuju ya hawas ka
hadaf ban gae the
main un ki tamanna liye
dilkash o mast rahon mein
ek umr ghuma kiya
mah-o-anjum ko chuma kya
aur kal sham
baad-az-safar
ba-hazaran zafar
apne bairun ki dastyabi ke
jashn-e-tarab mein
main jab shadman tha
yakayak nigah
andarun ki taraf muD gai
ek shikast-e-ajab zat se juD gai
- Book : Na Mau'ud (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.