lo iid aa.ī ai dil ba-sad shān-o-shaukat
ḳhushī har taraf har taraf hai masarrat
havā gā rahī hai ḳhushī ke tarāne
falak pe hai chhāyā huā abr-e-rahmat
koī dostoñ se gale mil rahā hai
koī kah rahā hai mubārak salāmat
vo ḳhud mujh se milne ko ghar mere aa.e
ināyat ināyat ināyat ināyat
hai din eid kā aaj thoḌī sī pī le
kareñ zāhid aaj aur kyā terī ḳhidmat
gale aao mil lo ki hai eid kā din
jhijakte ho kyoñ is meñ kyā hai qabāhat
rakhā nisf roza kabhī us se kuchh kam
rakhā roza lekin ba-qadr-e-zarūrat
haiñ farzī fasāne haiñ qisse ḳhayālī
na dozaḳh kahīñ hai kahīñ hai na jannat
unhīñ ko mubārak ho dozaḳh se Darnā
hue haiñ jo duniyā meñ māyūs-e-rahmat
ḳhatā par ḳhatā maiñ ne kī ye samajh kar
ḳhatāvār hoñge sazā-vār-e-rahmat
ye bedard duniyā masā.ib kā ghar hai
sukūñ se jo dam guzre samjho ġhanīmat
ḳhudāyā gunah mere had se sivā haiñ
jo tū baḳhsh de hai tirī shān-e-rahmat