walid sahab ki yaad mein
ye to sadiyoñ kā qissa thā
yahāñ to ek baḌā sā peḌ huā kartā thā
jaltī, taptī, bhuntī aur sulagtī rut meñ
is ke nīche
yahīñ kahīñ par
ek jazīra sā ābād rahā kartā thā
ḳhunuk-ḳhunuk saaye meñ
hañste gāte, muskāte logoñ kī
ik bastī thī
yahāñ to ek baḌā sā peḌ huā kartā thā
yahī dhuup
jo aaj yahāñ par chīḳh rahī hai
pal bhar sustā lene ko tarsā kartī thī
ye to sadiyoñ kā qissa thā
yahāñ to ek baḌā sā peḌ huā kartā thā
ye to sadiyon ka qissa tha
yahan to ek baDa sa peD hua karta tha
jalti, tapti, bhunti aur sulagti rut mein
is ke niche
yahin kahin par
ek jazira sa aabaad raha karta tha
KHunuk-KHunuk saye mein
hanste gate, muskate logon ki
ek basti thi
yahan to ek baDa sa peD hua karta tha
yahi dhup
jo aaj yahan par chiKH rahi hai
pal bhar susta lene ko tarsa karti thi
ye to sadiyon ka qissa tha
yahan to ek baDa sa peD hua karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.