safar
āvāzeñ raat kī ḳhāmoshī meñ ojhal hone kā sandesa laa.ī haiñ
chāñd ke aadhe TukḌe par kuchh ḳhvāboñ kī tadfīn huī hai
ghaḌe kā paanī qatra-qatra Dol rahā hai
dīvāroñ kī miTTī meñ barsoñ se gūñdhī kuchh poroñ kā lams achānak
qalb-kade meñ chīḳh paḌā hai
raat ke kaale tave par vahshat kī roTī pakne ko tayyār paḌī hai
ghaḌī kī dīmak saañs kā nādīda darvāza chaaT rahī hai
maiñ yādoñ kī taḳhtī le kar
us par apne ghaghū ghoḌe
pariyāñ jugnū titlī guḌiyā bañTe mor ke par bosoñ kī toffē
aur harfoñ kā paak sahīfa
tasvīroñ meñ Dhaal rahā huuñ
kal aur aaj ke saare raste chal aayā huuñ
tanhā.ī ke chaurāhe par aan khaḌā huuñ
chāroñ jānib ashkoñ kī ik barf jamī hai
saañs thamī hai
aur mere hāthoñ se jaise
būḌhī uñglī chhūT rahī hai
aawazen raat ki KHamoshi mein ojhal hone ka sandesa lai hain
chand ke aadhe TukDe par kuchh KHwabon ki tadfin hui hai
ghaDe ka pani qatra-qatra Dol raha hai
diwaron ki miTTi mein barson se gundhi kuchh poron ka lams achanak
qalb-kade mein chiKH paDa hai
raat ke kale tawe par wahshat ki roTi pakne ko tayyar paDi hai
ghaDi ki dimak sans ka nadida darwaza chaT rahi hai
main yaadon ki taKHti le kar
us par apne ghaghu ghoDe
pariyan jugnu titli guDiya banTe mor ke par boson ki toffee
aur harfon ka pak sahifa
taswiron mein Dhaal raha hun
kal aur aaj ke sare raste chal aaya hun
tanhai ke chaurahe par aan khaDa hun
chaaron jaanib ashkon ki ek barf jami hai
sans thami hai
aur mere hathon se jaise
buDhi ungli chhuT rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.