muhafiz
jo terī nīñdoñ ko jāgtā thā
jo terī khāñsī ko khāñstā thā
jo terī bārish ko bhīgtā thā
jo terī sardī ko hāñptā thā
jo apne hisse ke saare luqme
tujhe khilā ke Dakārtā thā
jo apne hāthoñ ke saḳht chhāle
chhupā ke tujh ko dulārtā thā
jo apne kapḌoñ meñ tere kapḌe ke
naap rakh rakh ke nāptā thā
jo tere zindāñ kī qaid tujh ko
rihā.ī de kar ke kāTtā thā
jo tere aañsū ko apnī āñkhoñ se
sochtā thā aur pochhtā thā
tujhe chalāne ke vāste jo
har ek mausam meñ dauḌtā thā
vahī ye būḌhā
vahī ye lāġhar
vahī apāhij
vahī ye pāgal
vahī ye vahshī
vahī ye bhūkā
vahī ye nañgā
vahī nikammā
hai baap terā
jo teri nindon ko jagta tha
jo teri khansi ko khansta tha
jo teri barish ko bhigta tha
jo teri sardi ko hanpta tha
jo apne hisse ke sare luqme
tujhe khila ke Dakarta tha
jo apne hathon ke saKHt chhaale
chhupa ke tujh ko dularta tha
jo apne kapDon mein tere kapDe ke
nap rakh rakh ke napta tha
jo tere zindan ki qaid tujh ko
rihai de kar ke kaTta tha
jo tere aansu ko apni aankhon se
sochta tha aur pochhta tha
tujhe chalane ke waste jo
har ek mausam mein dauDta tha
wahi ye buDha
wahi ye laghar
wahi apahij
wahi ye pagal
wahi ye wahshi
wahi ye bhuka
wahi ye nanga
wahi nikamma
hai bap tera
- Book : Scan File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.