uljhan
ek uljhan ke ka.ī haiñ silsile
shaam kī āvārgī ke mashġhale
us kī bāteñ be-vajah kuchh qahqahe
ik mu'amma qurbateñ aur fāsle
har ghaḌī gahrī udāsī be-sabab
jānī-pahchānī sī galiyāñ rāste
aur saḌkoñ par traffic kā hujūm
ek jaise zindagī ke roz-o-shab
hoTeloñ kī chaa.e cigarette kā dhuāñ
kuchh masā.il jin kā koī hal nahīñ
us se milne kī tamannā kis liye
tang kamra soch kī parchhā.iyāñ
ek uljhan ke kai hain silsile
sham ki aawargi ke mashghale
us ki baaten be-wajah kuchh qahqahe
ek mu'amma qurbaten aur fasle
har ghaDi gahri udasi be-sabab
jaani-pahchani si galiyan raste
aur saDkon par traffic ka hujum
ek jaise zindagi ke roz-o-shab
hoTelon ki chae cigarette ka dhuan
kuchh masail jin ka koi hal nahin
us se milne ki tamanna kis liye
tang kamra soch ki parchhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.