Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab-jangal

Azra Naqvi

KHwab-jangal

Azra Naqvi

nīñd-pālkī utrī raat duur jañgal meñ

ḳhvāb ḳhvāb manzar thā dhīre dhīre bahtī thī

simfanī havāoñ raat chāñd bādal meñ

chāñdnī bāñhoñ meñ jhiil vāltz kartī thī

dhīmī dhīmī ḳhushbū saath saath chaltī thī

kunj meñ daraḳhtoñ ke be-ḳhudī ke aalam meñ mast Daar hirnoñ

bele raqs kartī thī

hirniyoñ āñkhoñ meñ mushk mahaktī thī

kaale pairahan pahne bā-vaqār peḌoñ ne vailen sambhāle the

jhūmte hue patte tāliyāñ bajāte the

gungunātī bailoñ par phuul kasmasāte the

jugnuoñ jhilmil se rāj-hañs sote se jaag jaag uThte the

āhaTeñ parindoñ apne shab-baseroñ meñ pā.eleñ bajātī thiiñ

apne band kamre meñ aañkh jo khulī dekhā

shahr kasāfat se muzmahil sūraj phir

ek aur na.e din dhuul le ke aayā thā

T v vaale kamre meñ sub.h ḳhabar-nāma ittilā.a detā thā

ek aur jañgal ko kaaT kar nikāleñge rāsta taraqqī

nind-palki utri raat dur jangal mein

KHwab KHwab manzar tha dhire dhire bahti thi

simfani hawaon ki raat chand baadal mein

chandni ki banhon mein jhil waltz karti thi

dhimi dhimi si KHushbu sath sath chalti thi

kunj mein daraKHton ke be-KHudi ke aalam mein mast Dar hirnon ki

bele raqs karti thi

hirniyon ki aankhon mein mushk si mahakti thi

kale pairahan pahne ba-waqar peDon ne wailen sambhaale the

jhumte hue patte taliyan bajate the

gungunati bailon par phul kasmasate the

jugnuon ki jhilmil se raj-hans sote se jag jag uThte the

aahaTen parindon ki apne shab-baseron mein paelen bajati thin

apne band kamre mein aankh jo khuli dekha

shahr ki kasafat se muzmahil sa suraj phir

ek aur nae din ki dhul le ke aaya tha

T w wale kamre mein subh ka KHabar-nama ittilaa deta tha

ek aur jangal ko kaT kar nikalenge rasta taraqqi ka

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now